Tu jab sakooN main hota hai

Tu jab sakooN main hota hai
Tu jab sakooN main hota hai
To maiN bhi hunsta gata huN
To jub taRap sa jata hai
MaiN bhi ghayel ho jata hun
  

Jun, 04 2010     111 chars (1 sms)     5681 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

*Main yun sanbhal gai ky tairi bewafai ny
Beaitibar"ion sy shanasa kiya mujhy

Woh apni aik zaat mein kul qainat tha
Duniya ky her faraib sy milwa dia mujhy
roth gaya hai mujhko manane wala.
ab koi nahi naaz mere uthane wala.
per jaane kiya sochta hai ye khulla darwaza.
shayad rasta bhool gaya aane wala.
zindagi pe is se bherh k tanz kya hoga faraz?
us ka yeh kehna k to shaayer hai, deewana nahin*
Ab WO MEri Her Baat K Maani Poche
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Kerta Tha
Ehsas Dilaya hai To Milta Bhi Nahi Hai
Ajnabhi Tha To Roz Mila Kerta Tha
Kerta Raha Jo Roz Mujhe Uss Se bad-Guman
Wo Shaks Ab Uska Tamanai Ben Gaya
Wo Pehle B Teri Mohabat Nahi Thi
Phir Kia Hua Agar Koi Herjai Ben Gaya
Aaj yun mosam ne di jashan-e-mohabt ki khabr
Phoot phoot k rony lagy hen "main mohabbat aur tum"

Hum ne joon hi krliya mehsos manzil hai qareb
Rasty khony lagy hain "main mohabbat aur tum"

Chaand ki kirnon ne hum ko iss terha bosa diya
Devta hone lagay hain "main mohabbat aur tum"

Aaj phir mehroomiyon ki daastanain oarh kr
Khwab main sonay lagay hain "main mohabbat aur tum"

Kho gai awaz b , andaz b , alfaz b,
Khamoshi dhondne lagy hain "main mohabbat aur tum
itney mukhlas B nA Ho k pachtAnA ParhAy



kuch Log iklAAs ko B thukrA DaitAy Hain.
Gafil hun ager deen se tou dunya se kya paya hai

Her shakhs ne mujhko mazaq hi banaya hai

Pahar kehta hun hudko per moom hi sarmaya hai

Dard sene ka ankhon se chalak aya hai

Gafil hun ager deen se tou dunya se kya paya hai

Jazbaton se kheyl kar usne mazaq mera uraya hai

Dekha kar asman zameen mein dafnaya hai

Haan gafil hun deen se phal dunya mein paya hai
Ajnabi Ban K Koi Aaya Tha,
Aisa Laga Vo Mera Saaya Tha,
Log Karte Hai Roshni Ghar Me,
Usne To Dil Me Diya Jalaya Tha
zakhm pe zakhm kha k sambhalna achcha lagta hai,

Hum ko tumhara dheerey dheerey chalna achcha lagta hai,


kya karein k ab khud sey b majboor hein,


warna hamein GF badalna achcha lagta hai,


mereee iss hassi k peechey na pooch kya,


Merey ansoun ko khushi mein dalna achcha lagta hai
choom leti hai kabhi lab to kabhi aariz-e-naaz

Tumne zulfon ko bahot sar pe chadha rakha hai
Qarz!!
Kuch Khawaab Hen!

Jin Ko Rakhna Hai,

Taabeer Ki Soorat Deny Hai.

Kuch Logh Heyn!

Ujhray Dil Waalay,

Jinhen Muhabbat Deni Hai.

Kuch Neendain Abhi Baaqi Heyn,

Jinhen Baantana Hai Kuch Logon May,

Ae Umar-E-Rawaan Aahista Chal

Ahista Chal!!

Abhi Khaasa Qarz Chukaana Hai...!!!