Chaa SMS Messages325 messages

Mari mohabat hay woh, koi majboori to nahi.
woh mujay chahay, ya mill jay zarori to nahi.
yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.
jaan qurban mari, us ki her muskurahat pay.
Chaaht ka takaza hay yahi, Aqal-e-Khurori to nahi.
ab to nikal kay ankhoon say yadoon main ja basa woh.
yahi hay qurbat-e-Chaahat, koi dori to nahi.
us kay gar ki tarf utthy hi ruk jaty hain kadam.
badnami say us ki darta hoon, koi mazori to nahi.
keyoon log madhoosh hotay hain mari mahaq say.
dil ki jalan aur ansoaoon ka ater hay, mahaq-e-kafori to nai.
dair karta hoon her kam main katay hain dost mary..
kam aqali hay mari koi shaoori to nahi.
keyoon sulgata hay apnay app ko ay Saadash
dil bhi tara jan bhi tari, koi tandori to nahi
Aanken Band Kar Bhi, Hum Tera Deedar Karte Hain,
Aye Sanam, Hum To Sirf Tum Se Pyar Karte Hain.
Lakh Chaah Kar Bhi Main Tujhe Bhula Nahi Saktey,
Saans Rahte, Teri Tasvir Aankhon Se Hataa Nahi Saktey.
Aakhiri Pal Tak O Bewafaa, Tujehe Yaad Kartey Hoon,
Teri Yaadon Yo Seene Mein Basaa Kar Chaltey Hoon.
kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehtay they wo maan lia karti thi

kal anjaan ban kar paas se guzar gai
Woh jo door se pehChaan lia karte thi…
APNE HONTON PAR SAJANA ChaaHTA HOON
AA TUJHE MEIN GUN-GUNAANA ChaaHTA HOON

KOI ANSU TERE DAMAN PAR GIRA KAR
BUND KO MOTI BANAANA ChaaHTA HOON

"THAK GAYA MEIN KARTE KARTE YAAD TUJH KO"
"AB TUJHE MEIN YAAD ANA ChaaHATA HOON"

CHHAA RAHA HAI SARI BASTI MEIN ANDHERA
ROSHNI HO GHAR JALAANA ChaaHATA HOON

AKHIRI HICHKI(HIDCHKI) TERE ZANOO PE AEY
MAUT BHI MEIN SHAYRAANA ChaaHTA HOON
Main teraa na hua haqeeqat me
ek fasaana magar Chaahunga
jhooth hi kehde ke tu meri hai
taa-umr meri jee jaaunga.
Aankhon Main Jo Aansoon Hain Humaray Ussay Kehna
Dono Yeh Hissa Hain Pyaaray Ussay Kehna

Tapkay Jo Teri Aankh Say Aansoo Ka Koi Qatra
Nahin Dekhnay Hum Ko Yeh Nazaray Ussay Kehna

Katti Nahin Us Say Bhi Shab-E-Hijran Tu Phir
Ginna Karay Woh Bhi Sitaaray Ussay Kehna

Hoti Nahin Pori Kabhi Khahish Koi Us Ki
Chal Jatay Hain Dil Pay Merey Aaray Ussay Kehna

Kal Raat Tu Chaand Kuch Mayoos Sa Tha
Aaj Woh Khud Ko Na Sanwaray Ussay Kehna

Zindagi Ek Shaam Hai Saharay Main Ghuzaroon
Ek Shaam Merey Sath Woh Ghuzaray Ussay Kehna
Main Umr K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa
Ek Din Bhi Agar Apni Tanhaaii Se Dar Jaataa

Main Tark E Ta“alluq Par Zinda Huun So Mujrim Huun
Kaash Uss K Leye Jiitaa, Apney Leye Mar Jaataa

Uss Raat Koii Khushbu Qurbat Mein Naheen Jaagi
Main Varnaa Sanvar Jaataa,Aur Voh Bhi Nikhar Jaataa

Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey
Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jaataa

Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain
Chaltaa Tou Bichhar Jaataa,Ruktaa Tou Safar Jaataa

MaiN Shehr Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa
Ik Shaam BaChaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghhar Jaataa

Mehroom Fazaaoun Mein,Mayuus Nazaron Mein
Tum AZM Naheen Tehrey, Main Kaise Tehar Jaataa
Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino main loog chehray bhool jatay hain
Meri pehChaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Tera saath mil jaaey tou sab dukh bhool jaaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi

niChaawar khawaab kar doon gi terey har ishaarey par
kabhi peepal ki Chaaon main kabhi nadiya kinaarey par
tumhain thandak ataa kar doon gi ik basaat ki manend
bikhartey Chaand jharnoon main ujalti raat ki manend

mujhey tum se muhabbat hai main logoon ko bataaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi

main Chaahon gi tumhain janaan umangon se ujaalon tak
khudi ke dasht se le kar naey janmon ke saalon tak
Meri thandi si tanhaae sulagti raat jaisee ho
mujhey bas saath le jao bhaley baraat jaisee ho

tmharey surkh jorhey main hi dulhan ban ke aaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi
**mohabat kar nehi paaya**
december k maheenay ka,
wo shaayad aakhri din tha..
baras guzray kaii,
main nay "mohabat" lafz likha tha..
kisi kaaghaz k tukray par!
aChaanak yaad aaya hay,
baras guzray kaii,
mujh ko kisi say baat karni thi..
usay kehna tha..
"jaan-e-jaan!
mujhay tum say mohabat hay.."
magar main keh nehi paaya..
wo kaaghaz aaj tak,
lipta para hay dhool main lekin..
kisi ko day nehi paaya,
dobaara chah kar bhi main,
mohabat kar nehi paaya...!!
JIS NAZAR SE DEKHTE RAHE IS DUNIYA KO HUM,
UN AANKHON MEIN HAMARI KOI PEHChaaN BHI NAA THI
Ajj kia bethey bithaey gham e jaan yaad ayya
aik yaad aye tu phir ik jahaan yaad ayya

jabb kooi phool girra jabb kooi patta toota
tujh see patt jharr main bicharney ka samaan yaad ayya

khul gaey ruhh ki galioon main terey Chaap ke phool
jabb tera rangg kafey-e-paey rawaan yaad ayya

tujh koo dekha tu larazney laggi panddar ki loo
be sabab talaqh noey ka ziyaan yaad ayya

kitni saddioon ke muqaddar main terey deed na thi
hum terey muntazer-e-deed they haan yaad ayya

sehrey ablagah main kia zehmey sukhan tha hum koo
kudh pey guzri tu ghamey ehley faghaan yaad ayya

barhaa parsish ehwaal pe sajjad pehroon
aik ik harif ka andaaz-e-biaan yaad ayya