Chaa SMS Messages325 messages

Tere labon se hai rangat phoolon mein, Teri aankhon se hai chamak sitaaron mein, Tu jo muskuraake dekhle aasmaan ko, Chaand bhi sharmaake jhuk jaaye tere kadmon mein,
Aise chup Chaap hi mar jate hain

kuch log yahan

jism ki thandi si tareek sayaah Qabr k ander

na kisi saans ki awaaz

or na siski koi

na koi aah na jumbish

na hi aahat koi

aise chup Chaap hi mar jaate hain

kuch log yahan

in ko dafnaane ki zahmat b uthaana nahi parti
Roti Hoi Aankhon Se Tujhe Muskan Kese Doon

Anjaan Hoon Khud Se Tujhe PeChaan Kese Doon

Tu Hi To He Jan Meri...

Tu He Bata Tujhe Apni Jaan Kese Doon . . . ;->
Deepak raag hai Chaahat apni kyu sunaaye tumhe
hum to sulagte hi rehte hai kyu sulgaaye tumhe

tark-e-mohabbat, tark-e-tamannaa karne ke baad
hum pe yeh mushkil aan parri hai kaise bulaaye tumhe

sannaataa jab tanhaayi ke zehar mein bujhta hai
vo ghadiyaa kyu kar katti hai kaise bataaye tumhe

jinn baato ne pyaar tumhara nafrat mein badlaa
darr lagtaa hai vo baate bhi bhool na jaaye tumhe.
PehChaan nahee''n hay...


Rango''n ki mujh ko...


Mai''n is nai''mat say aari hoo''n...


Kyu''n-k mai''n nay ab tak...


Us k che''hray ki...


Qaus-e-qazah k rango''n say aagay...


Koi rang nahee''n daikha...!
tumhare hoth, tumhari baahe mujhe pasand hai,
tumhari aankho me mere hi sapne band hai,
tumhari Chaal,tumhari baate mujhe aachi lagti hai,
tumhari aanko ki taarif me gazale thakti hai,
jabse tumko pyar kiya hai aata hai mere mann me,
aur na koi dekhe tumko mere siwa is zindagi mein..
zism naam matra hai us par jaan tum ho
mein kuch bhi nahi meri pehChaan tum ho
jee chahta hai aaj har cheez luta du
kuch kami hi nahi jab meri shaan tum ho
humsafar Chahiye Hajoom Nahin,
ek Musafir Bhi Qafla Hai Mujhe,

Tou Muhabbat Se Koi Chaal To Chall,
Haar Janay Ka Hosla Hai Mujh Mein.
Koshish

kal Chandni kitni Madhum thi
kal Raat b kitni Madhum thi
Kal Taarey kitne Chup chup thy
Kal Aankh b meri Num num thi
kal Aasmaa ne Phir se...
Dard ki Chaadar Taani thi...
Kal Har soo Bari Veyraani Thi
Kal Phir se Woo he Kahaani Thi..
Kal Shayad Mere Dil ne Tum ko..
Bhool Janey ki Thani thi...
na milta Gham to barbaadi ke afsaanay kahaan jaatay

agar duniyaa chaman hoti, to viraanay kahaan jaatay

chalo aChaa huaa apnon mein koi Ghair to niklaa

agar hotay sabhi apanay, to begaanay kahaan jaatay
Qadmon mai bhi takaan thi, gher bhi qareeb thaa
per kiya karain keh ab kay safar he ajib thaa

niklay agar to Chaand dereechay mai ruk bhi jaaey
iss shehar bay-charaagh mai kis ka naseeb thaa

Aandhi nay un ruton ko bhi bay-taaj ker diya
jin ka kabhi huma saa parinda naqeeb thaa

kuchh apnay aap say he usay kash-makash naa thi
mujh mai bhi koi shakhs ussi ka raqeeb thaa

poochha kisi nay mol to hairaan reh gaya
apni nigaah mai koi kitna ghareeb thaa

maqtal say aanay wali hawa ko bhi kab mila
aisa koi dereecha keh jo bay-saleeb thaa...
Pather tha mager barf k galoon ki tarah tha...
Ek shakhs andhairoon mein ujaaloon ki tarah tha...
khawaboon ki tarah tha na khiyaloon ki tarah tha....
Woh ilm-e-riazi k sawaloon ki tarah tha...
uljha hua aisa keh kabhi hal ho na paiya...
Suljha hua aisa keh misaloon ki tarah tha....
Woh mil to giya tha mager apna hi muqadder....
Shatranj ki uljhi hoi Chaaloon ki tarah tha....