Chaa SMS Messages325 messages

ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain

kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain

hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
Chaak-e-dil aur bhi hai Chaak-e-qabaa aur bhii hain

sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain

munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...
Mohabbat Mein Asar Hoga To Ek Din Tumko Paa Lenge,
Kisi Surat Se Hum Bigdi Hui Kismat Bana Lenge,

Sitaron Mein Phoolon Mein Chaand Mein Tum Mil Hi Jaoge,
Kahan Tak Hai Mohabbat Mein Haqeeqat Aazam Lenge,

Zamane Ko Dikha Denge Ke Do Dil Kaise Milte Hai,
Is Duniya Mein Hum Tum ek Dusri Duniya Basa Lenge...
door tak chahe thay badal or kahin saya na tha
is tarhan barsath ka moasam kabhi aaya na tha

kya mila aakhir tujhe saayon k peechay bhaag kar
aay dil-e-nadaan, tujhe kya humne samjhaya na tha

uff ye sannata k aahat tak na ho jis mai mukhal
zindagi mai is qadar humne sukoon paya na tha

khoob roye chipak k ghar ki Chaar diwari mai hum
haal-e-dil kehnay k qabil koi humsaya na tha
Ek muddat hui ek zamana hua
Khaak-e-gulshan mein jab aashiyana hua

zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujrimana hua

phool jalte rahe Chaand hansta raha
aarzoo ka muqammal fasana hua

daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil ka muflis-kada jab Khazana hua

rah_bar ne palat kar na dekha kabhi
rah-o-raste ka nishana hua

ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aastana hua

dekh mizraab se Khoon tapakne laga
saaz ka taar marg-e-tarana hua

pehle hoti thi koi wafa-parvari
ab to "Sagar" ye qissa purana hua...........
wafa ke wadey wo sarey bhoola gaya chup Chaap
wo mere dil ki dewaarein hila gaya chup Chaap

gham_e_hayat ke taptey houey biyabaan mein
humein chor ke wo tanha chala gaya chup Chaap

na janey kon sa wo badnaseeb lamha tha
jo gham ki agg mein mujh ko jala gaya chup Chaap

mein jiss ko choota hoon wo zakham deta hai
wo phool aesey chaman mein khila gaya chup Chaap!!
YuuN to har ik nigaah aati hai,
Mujh ko sun_ne ki Chaah aati hai,
Mera har sher hai qurbaaN us par,
Jo tere lab se "waah" aati hai.
hamaare paas rahe ya kinara kar jaaye
udaasion ka woh koi to Chaara kar jaaye

qateel pi to liya hai khushi se zehr e firaaq
khuda kare ke tabiat gawara kar jaaye
mujh se vaqif to mere jism ka saya bhi na tha
kaise ho jata tumhara main Khud apna bhi na tha,
jitana mayus hai vo shaKhs bichar kar mujh se
itnii shiddat se to main ne use Chaaha bhi na tha,
jaise ilzam lagaye hain mere sar us ne
aisi nazaron se to main ne use dekhaa bhi na tha
merii aavaaz kaa Gham shahar ne jana kaise
main to us bhiid main Khamosh tha bola bhi na tha......!!!!
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai
Main Tum Main Fana Hoon Imaan K Badle
Tum Do Ge Mujhe Kia Meri PehChaan k Badle

Ye Hanste Huey Logo''n Ka Bazar Hai Jana''n
Kuch Bhi Na Miley Ga Dil-e-Weeran K Badle

Wo Shaks Meri Jaan Bhi Le Lega Khushi Se
Aur Kuch Bhi Nahi Dega Meri Jaan K Badle
Main Tum Main Fana Hoon Imaan K Badle
Tum Do Ge Mujhe Kia Meri PehChaan k Badle

Ye Hanste Huey Logo''n Ka Bazar Hai Jana''n
Kuch Bhi Na Miley Ga Dil-e-Weeran K Badle

Wo Shaks Meri Jaan Bhi Le Lega Khushi Se
Aur Kuch Bhi Nahi Dega Meri Jaan K Badle