Chaa SMS Messages325 messages

Kabhi Mujh Ko Saath Lekar, Kabhi Mere Saath Chal Kar
Woh Badal Gaye AChaanak Meri Zindagi Badal Kar

Huye Jis Pey Meharaban Tum Koi Khush Nasib Hoga
Meri Hasaratein To Nikalin Mere Ansuuon Mein Dhal Ke

Teri Zulf-O-Rukh Kay Qurban Dil-E-Zaar Dhuundhata Hai
Wahi Champai Ujaale Wahi Suramai Dhundalake

Koi Phool Bun Gaya Hai Koi Chaand Koi Taara
Joh Chiraag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke

Mere Dosto Khudara Mere Saath Tum Bhi Dhuundo
Woh Yahin Kahin Chhupey Hain Mere Ghum Kaa Rukh Badal Kay

Teri Bejhijhak Hansi Say Na Kisi Kaa Dil Ho Mailaa
Yeh Nagar Hai Aainon Kaa Yahaan Saans Le Sambhal Ke
"Parveen Shakir"

Hoon To Khafa Us SE,
Per Janay Phir B Kiyn...?

Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai...

Haqeeqat Se Hoon Dhoor,
Ye Mujh Ko Hai Pata...

Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai...

Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi...

Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai...

Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga...

Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai....!!
Husband- Ek writer ne likha hai ki "Shohar ko bhi ghar ke mamlo mein bolne ka haq hona Chaahiye..."
Wife- Woh beChaara bhi dekho likh hi paya, Bol Nahi Saka.!
Dil ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehtey Hain,
Humne Suna Tha Iss Basti Mein Dilwaley Bhi Rehtey Hain,

Beet Gaya Sawan Ka Mahina Mausam Ne Nazrein Badli hain,
Lekin Inn Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansu Behtey Hain,

Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Waley Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehtey Hain,

Jis Ki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jiske Liyey Badnaam Huey,
Aaj Wohi Humse Begane Begane Se Rehtey Hain,

Wo Jo Abhi Rehguzar Se Chaak-E-Garebaan Guzra Tha,
Uss Awaara Deewane Ko Jalib Jalib Kehte Hai...
Zindagi se yehi gila hae mujhy,,,
Too baht der se mila hae mujhy,,,,
Too mohabbat se kooe Chaal to chal,,,
Haar jany ka hosla hae mujhy,,,,,,,
kahten hain Chaand taare, uth rozadar pyare,

Taqdeer ko jagaane, uth nekiyan kamane,
Jannat men ghar banane, har simt hain ujiyare,
kahten hain Chaand taare, uth rozadar pyare,

Ye waqt imtihan hain jo kuchh bhi hai hay ayan hai,
Jo iska qadrdaan hai wo shakhs kaamraan hai,
haq ke samajh ishaare, uth rozadar pyare

Gam ki dawa hai roza, dil ki giza hai roza,
sabr o raza hai roza, fazl e khuda hai roza,
kya khoob hai nazare, uth rozadar pyare,

Taqdeer ki sada hai, Iman ki fiza hai,
Maahol dilruba hai, har fard padh raha hai,
Quran ke sipaare, uth rozadar pyare,
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Dub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

Aarzoo jhooth hai,
Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..
Dil kabhi kisi se lagana nahi.

Ek pal mein jo aakar gujar jaaye
Yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kahti hai duniya jise,
Ek rangeen dhokha hai .. Aur kuch nahi

Asmaan bhi baras raha hai,
Mere Ashko se takra raha hai,
Kisme hai jor jyada shayad yeh dekh raha hai,
Barsaat to phir bhi ruk jayegi,
Mere Ashko ka koi anth nahi,
Dil me hai dard itne jiska koi hisaab nahi.
Saavli Si Larkii

Yay Raaz Samajhti Thii

Chaar Din Ki Baatein Hein

Aagey Ghum Ki Raatein Hein

Yay Jo Raahi Aayaa Hay

Siraf Ik Waqti Saayaa Hay

Jeewan Ki Tapti Dhoop Mein

Har Aik Saayaa Paraya Hay

Haqeeqat Ko Such Samajhti Thii

Saanvli Si Aik Larki....
Sardar:Kal raat mujhe ek admi ne Chaaku dikha kar loot liya.

Dost:Par yaar tere pas to hamesha Pistol hota hai?

Sardar:Wo maine chupa di thi warna wo bhi loot leta.
"Parveen Shakir"
Hoon To Khafa Us SE, Per Janay Phir B Kiyn...? Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai... Haqeeqat Se Hoon Dhoor, Ye Mujh Ko Hai Pata... Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai... Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi... Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai... Tu MERA Tha, Tu MERA Hai, Tu MERA Rahay Ga... Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai....!!
Suna Hai Neya Saal Phir Aa Raha Hai

Khushiyan Bhi Hoon Gee ” Baharain Bhi Hoon Gee
Magar Hum To Guzry December Ki Sochoon Mein Gum Hain
Keh” Jab Tu Mere Paas Thi

Hath Tera Mere Hath Mein tha
Aor Khushiyan Chaar Su Hamary Sath Thin

Magar Ab Akele Tumhain Sochty Hain
Yahi Khof Daman Se Lipta Hua Hai
Keh”

Aisa Na Ho Es Baras Bhi December
Tumhary Bina He Kahin Beet Jay
December To Har Saal Aata Rahy Ga
Magar Tum Na Ho Gy To Kuch Bhi Na Ho Ga !

Suna Hai Neya Saal Phir Aa Raha Hai !
Ae Eid K Chaand!
Q Krta Hae Tu Hum Ko Pareshan,

Tujhe Dekhne K Liay Bechen Hen Hum
Aür
Mufti Muneeb Ur Rehmaan

Tujhe Dekh Nahi Patay
Puray Pakistan K Insaan,

Mgar Kahan Se Dhoond Letay Hen Tujhe
Sarhad K Kuch Pathan,

“Meri”Hy Tman’na
Eis Bar Na Trpana,

Puray Pakistan Mae Hum Ko Ik Saath Nzar Aana.