Aise chup chaap hi

Aise chup chaap hi
Aise chup chaap hi mar jate hain

kuch log yahan

jism ki thandi si tareek sayaah Qabr k ander

na kisi saans ki awaaz

or na siski koi

na koi aah na jumbish

na hi aahat koi

aise chup chaap hi mar jaate hain

kuch log yahan

in ko dafnaane ki zahmat b uthaana nahi parti
  

Jun, 02 2010     292 chars (2 sms)     2241 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir?
Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
Ankhain Dekhi To Mein Dekhta Reh Gaya
Jaam Dou Aur Donon Hi Do Aatisha
Ankhain Ya Maykadey K Wo Dou Baab Hain
Ankhain Un Ko Kahun Ya Kahun Khuab Hain
Ankhain Neechi Huyeen To Haya Ban Gayen
Ankhain Oonchi Huyeen To Dua Ban Gayen
Ankhain Uth Ker Jhukeen To Adaa Ban Gayeen
Ankhain Jhuk Ker Utheen To Khata Ban Gayeen
Ankhain Jin Mein Hain Qaid Aasman-O-Zameen
Nergisii Nergisii, Surmageen Surmaeen
hum tu rasty mein hi"fana"howe".

"manzil ka "AQSS" humri jan ly betha".
Ashq Ankhoon Main Meri Dekh Kay Rotay Kiyon Ho
Dil Bar Aata Hai To Pher Mujh Ko Rolatay Kiyon Ho
ped se patte girte hai
udhanewala koi nahin
pyar toh sabhi kartain
lekin nibhanewala koi nahin
Chehron Mein 1 Chehra Khojne Ki Adat Hai,

Mujhko Bheer Me Beth Kar Sochne Ki Adat Hai,
Gila Ho B to kya unse Sitam Gari ka K jinhain

Phool Shakhon Se Nochane ki Adat Hai,

Mat Dhoonda kejiye Mere Har Lafz Ki Tasweer,

Min To Pagal Hon Mughay Youn Hi Bolne Ki Adat Hai,

WaQt Hai Nhi Dunya K paas Mujhay Ja"nay Ka

Aur Mujhko B kab Apna Aap Kholne Ki Adat Hai

Tum Shish Ho to Phir Mujh Se Door He Raho

Main Pathar Hon Mujhay Shisha Tornay Ki Adat Hai,
Kabhi Yun Bhi To Ho.
Darya Ka Sahil Ho.
Pooray Chand ki Raat Ho.
Or Tum Aao,

Kabhi Yun Bhi To Ho.
Paryon Ki Mehfil Ho.
Koi Tumari Baat Ho.
Or Tum Aao,

Kabhi Yun Bhi To Ho.
Suni Har Manzil Ho.
Koi Na Mere Saath Ho.
Or Tum Aao.

Kabhi Yun Bhi To.
Yeh Baadal Aisa Toot K Barsey
Mere Dil Ki Tarha Milne Ko
Tumara Dil Bhi Tarsay
Tum Niklo Ghar Se,

Kabhi Yun Bhi To Ho
Tanhaai Ho
Dil Ho
Bunddain ho
Baadal Ho
Barsaat Ho.
Or Tum Aao,
Roz Yeh Dil Beqaraar Huta h
Roz Kisi ka Intazaar Huta h

''Kash Koi samj sakey k chup rahney walon k b kise se pyar huta hai
Tairy Tarz-e-tagaful sai hamain kia gila dost
.
Shayed hamain hi nahi ata dilon mai ghar karna
Nazro Ko Nazaaro Ki Kami Nhi Hoti,

Fulo Ko Baharo Ki Kami nhi Hoti.

Fir Q Hme Yaad Karoge Aap,

Aap To Aasman Ho,

Or Asman Ko to Sitaro Ki Kami Nhi Hoti.
aisa kya likhoon k tery dil ko tass''alli pohanchy..""

kya yehi kafi nahi k meri duaaon mein tum ho...""