Chaa SMS Messages325 messages

Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay

Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa
Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay

Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay

Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay

Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi IMRAN Ko Kam Numa Sa Lagay
Jab saawan mein tanha bhego gay
Jab aangan khaali paao gay
Jab saahil se takraati lehron mein
Apni tanhaai mein kho jaao gay
Jab raat ke tanha daaman mein
Tum Chaand ko aadha paao gay
Jab khud se baatein kartey kartey
Tum door kahin kho jaao gay
Jab dil ki baat chupaane ko
Hum se nazar tum churaao gay
"Main tum se mohabbat karta hoon"
Harr baar yeh sun_na Chaaho gay
Inn sab lamhon mein jaan lena ke
"tum, tum nahi "HUM" ban jaao gay
Baatein kartay hont aChaanak ruk jaatay aur,
Aankhain uss k peechay peechay chal parti theen,
Dhyaan ka rastaa kho jaata tha.
Mehfil mein jis simt Woh jaati,
Kamaray ka woh hissa yak-dam roshan ho jaata tha.
Jaadugar theen aankhain Uss ki,
Palkain theen ek Raaz!!
Rooh mein jhilmil ker daiti thi,
Aisi thi Awaaz!!!
Apni Aankhon Ke Samunder Main Utar Jaane De...
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De...
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko...
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De...
JAhaan Phoolon ko khilna thaa
WAhin Khiltay toh acha tha
Tum He Ko Hum ne Chaha Thaa
Tum He Miltay Toh ACha Thaa
Tumhe KAise BAtain hum
ke tumhe kaise bhulayaa hai
tumhe gham ko ashkoon se shab e gham main jalaya hai
hazaroon zakhm aesay thay
agar siltay toh aChaa thaa
tumhe ko hum ne chaha thaa
tumhe miltay toh aChaa thaa
Ek teri yaadon ke siwa aur koi sahara nahin
Tujhey bhool ke zinda rahoon dil ko yeh gawara nahi
Ya khuda teri ibadat mein dil lagawoon kaisey
Yeh jaan bhi unki hai, dil bhi ab hamara nahi
Gunah humsey ho sar zad to khuda maaf karey
Qatha ho ishq mein is ka koi kaffara nahi
Loon kiska naam, kisney ujaada hai mujhey
Wafawon ney jaan baqshi hai, jafawon ne maara nahi
Meri udaasiyon mein khudaayi bhi hai shaamil
Chaand bhi na nikla, aasmaan pe koi taara nahi
Doobey hain ghumon mein tho raaz yeh paaya
Yeh woh samundar hai ilyas jiska koi kinaara nahi
Gulon ke beech tera chehra bada suhaana lagey
Chaandni raath mein Chaand bhi ab puraana lagey
Shabnum bani sharaab teri must nigaahi ka hai asar
Husn tera hamein maikadey se judaa na lagey
Ghar baith ke peeney lagey jo hum teri nigaahon se
Soona soona zamaaney ka har maikhana lagey
Bijliyon se thi nafrat inhein aadtah aashiyaan jalaney ki
woh hans ke bijliyaan dil pe giraayein bhi to buraa na lagey
leliye ghum inkey tamaam hamein jo azeez they
ki aabaad sada ghumon se dil ka khazaana lagey
sambhaali hai khud kashti tofan-e-ghum mein
ki na-qudaa bhi ab ilyas ko na-qudaa na lagey
Meri Ankhon Ke Samandar main Jalan kaisi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tadapne Ki LaGan Kaisi Hai
Ab Kisi Chaat Pe Chiraghon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Main Guthan Kaisi Hai
Baraf Ke Roop Main dhaal Jain Ge Sare Rishte
Mujh se Poocho Ke Muhabbat Main Agan kaisi Hai
Main Tere Wisal Ki Khuwahish Ko na Marne Doon Ga
Musam-e-Hijar Ke lehje Main Takan Kaisi Hai
Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kanton Ki RiDa
Us Ki Majboor Si Ankhon Main Kiran Kaisi hai
Mujhe Masoom si Pagal Ladki Pe Taras aata hai
us se Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
"wo jaaye to sahi, hum aane kaa waada karte hain..
wo roothe to sahi, hum manaane ka waada karte hain,
dil todna hai mera to beshaq tod de woh...
is dil k bina bhi hum unko Chaahane ka waada karte hain........"
Vo Chaandani Ka Badan Khushbuon Ka Saya Hai,
Bahut Aziz Hamen Hai Magar Paraya Hai

Utar Bhi Aao Kabhi Aasaman Ke Zine Se,
Tumhen Khuda Ne Hamare Liye Banaya Hai.


Sardar english k paper main fail ho gaya,
He did translation:

1.Main aam admi nahi hon
I’m not a mango man

2.Sarda or garma fruit hain.
Colda & hota r fruits

3.Mujhey bhi english ati hay
English comes 2 me also

4.do ro do Chaar.
give and give four.

5.Mera taluk hari pur hazara se hay
I belong 2 green pur thousanda:)


Sardar english k paper main fail ho gaya,
He did translation:

1.Main aam admi nahi hon
I’m not a mango man

2.Sarda or garma fruit hain.
Colda & hota r fruits

3.Mujhey bhi english ati hay
English comes 2 me also

4.do ro do Chaar.
give and give four.

5.Mera taluk hari pur hazara se hay
I belong 2 green pur thousanda:)