Ashi SMS Messages227 messages

Pyaar ka to Dushman Zamana hai,
Har AAshiq ke Pyaar ka apna hi fasana hai.
Sab ko pata hai Ansu hi milte hai Pyaar me,
Phir bhi kyun har koi Pyaar mein Deewana hai
muttafaavatein hein merey Khuda ki ye tu nahi koi aur hai
ki tou asamaan pey ho tuo ho pisar-e-zami koi aur hai

woh jo raastey thay wafa ke thay yeh jo manzilein hein saza ki hein
mera humsafar koi aur tha mera humnAshi koi aur hai

mere jism-o-jaaN mein terey siwa aur koi bhi dusara
mujhe phir bhi lagta hai ess tarah k kahi kahi koi aur hai

mei aaseer apane gazal ka mein faqir dasht-e-wisaal ka
jo hiren ko baaNdh ke le gayaa wo subuk_tagin koi aur hai
Kabhi subha hogi na shaam hogi

Ashi koi kahani mare naam hogi

saahil ki mooj ka kiya pata

raat pey likhi tahreer gumnaam hogi

chalte rahay hain bas younhi

jane apni manzil ki gaam hogi

her ati saans per hoti hai subha

koun jane kab zindagi ki shaam hogi

tum mujhay jitna kureidoo gay

mari metti utni hi kaam hogi

jee raha hoon is umeed per main

tare dar pay zindagi ki shaam hogi

jis ki yaad main jitay hain hum

yeh zindagi bas us k naam hogi.
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
Dekhte hai duniya ki aankhon se,
AAshiqon ki yehi aadat kharab hai
Dil ki aankhon se dekhe gar koi,
Har haseen ko samjhna aasan hai
Ek muddat hui ek zamana hua
Khaak-e-gulshan mein jab aAshiyana hua

zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujrimana hua

phool jalte rahe chaand hansta raha
aarzoo ka muqammal fasana hua

daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil ka muflis-kada jab Khazana hua

rah_bar ne palat kar na dekha kabhi
rah-o-raste ka nishana hua

ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aastana hua

dekh mizraab se Khoon tapakne laga
saaz ka taar marg-e-tarana hua

pehle hoti thi koi wafa-parvari
ab to "Sagar" ye qissa purana hua...........
Aur kya kahooN kya hey uska mujh sey parda karna
wo jaanti hey mujh pey kayaamatoN ko barpa karna

uski soorat rahey aaNkhoN meiN aur dekhooN meiN
us ki kurbat meiN ajeeb tarz sy dil ka dharrka karna

hy munkAshif mujh pey usey khaab meiN dekhoN to
mery khayaaloN ka phooloN ki tarhaN mehka karna

kaasa-e-ishq meiN deedaar ki bheek sy guraez us ko
jaany lagta hooN to ada-e-khaas sey mujhy roka karna

sunooN jo us ki to zaahir ho, magar ba-nakaab-e-rukh
us pey bohat jach’ta hey ye maasoom sa dhoka karna

accha lagta hy jo mehfil meiN usey ik tak dekhoN to
sharbati aaNkhoN ka ishaaroN sey mujhy toka karna
Lambe safar mein
AAshiyana ho tum,
Akele raaston ka
Yaraana ho tum,
Sochte hain Tum bin
Zindagi kaisi hoti,
Kyunki hamari har
Khushi ka Bahana ho TUM...
Her kisi key lub yeh poochtey hein

Her uthti nazar mai aik sawaal hai

jab fard taraqqi kertey hain

phir qoumoon ko kyun zawaal hai

khoobsurat chehroon key bud surat rawayaye hein

tum hi kaho Aey logo yehi his-e-jamaal hai?

pyaar key matlaAshi bhi nafratein philaatein hein

dosroon pey takya karney mai, apna kia kamala hey,

dosti ki aar mai, umeedein lagaey bethein hein

khud-farebi ka pyaara sa yeh mehaz ik jaal hey.
Maira Dil Bhi Shoq Say Toro Ek Tajurba Aur Sahi
Laakh Khilone Torr Chuke Ho Ek Khilona Aur Sahi


Raat Hai Gham Ki Aaj Bujha Do Jalta Hua Har Ek Chiraag
Dil Mein Andhera Ho Hi Chuka Hai Ghar Mein Andhera Aur Sahi


Dam Hai Nikalta AAshiq Ka, Bheer Main Aa Kar Daikh To Lo
Laakh Tamaashe Daikhe Honge Ek Nazaara Aur Sahi


Khanjar Le Kar Sochte Kya Ho Qatl-e-Murad Bhi Kar Daalo
Daag Hain So Daaman Pe Tumhaare Ek Izaafa Aur Sahi
Hum safar ban key hum saath hain
aaj bhi
phir bhi hai ye safar ajanabi ajanabi

Raah bhi ajanabi mord bhi ajanabi
jayein ham kidhar ajanabi ajanabi

Zindagi ho gai hai sulagata safar
door tak aa rahaa hai dhuaan saa nazar

Jaane kis mord par kho gai har Khushii dey key dard-e-jigar ajanabi ajanabi

Hum ney chun chun ke tinke banaaya tha jo

aAshiyaan hasaraton se sajaayaa tha jo

Hai chaman mein wahi aAshiyaan aaj bhi lag raha hai magar ajanabi ajanabi

Kis ko maalom tha din ye bhi aayeinge mausamon ki tarhan dil bhi bada jaayeinge

Din hua ajanabi raat bhi ajanabi
har ghari har pahar ajanabi ajanabi