tumhara SMS Messages286 messages

Kya hua jo tumhara saath nahi
Mere hathon main tumhara haath nahi


Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain
Muhabbat main zaroori mulaqat nahi


Main sari umar tarsa hon chahat ke liye
Mere naseeb me shayad ye soghat nahi


Iss andaaz se bikhra k phir simat na saka
Mujhe samaitne wala hi koii haath nahi

Jis ki DOSTI peh naz thaa, wo DOST bhi gaya
Kis qarb se kaha us ne koi baat nahi
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aogye Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagao ge, Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai Meri Rah Se Jaaker Dekho

Bazm Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheron Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho

Dil tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho
Kuch apni fiker na apna khayal karta hoon
Tu kya yai kam hai teri dekh bhaal karta hoon


Meri jaga per koi aur ho tu cheekh uthe
Mein apne aap se itne sawaal karta hoon


Ager malaal kisi ko nahi mera na sahi
Mein khud bhi konsa apna malaal karta hoon


Yai chand aur sitare rafeeq hain meray
Mein roz unn se bayaan apna haal karta hoon


Tumhari yaad bhi aati hai abb mujhe kam kam
tumhara ziker bhi abb khaal khaal karta hoon
Ker lea hai faisla kehna ossay
abb na hoga rabta kehna ossay
jis pe hum chalte rahen hain SATH SATH
kho gaya woh Rasta kehna ossay
teri YADEEN DIL se ruksat ho gain
ho chuka yeh saneha kehna ossay
abb na dekhay ga tumhara rasta
dil ko may samjha chuka kehna ossay
cheen se sone na dega Ghum tujhi
raat bher abb jagna kehna ossay
aashna bun ker na milna rah may
Dosti ek khuwab tha kehna ossay
moer k pechay dekhtay hum bhi nahi
soch ker munh phairna kehna ossay
Meri Khamosh Mohabbat Ka
Itna To Sila Diya Hota,
Kabhi Ek Nazar Chahat Se
Dekh Hee Liya Hota

Hum Bhi Tujhe Ishq-0-Mohabbat
Se Aashna Karte,
Bas Ek Baar Apne Dil Mein
Aane To Diya Hota.

Kiya Jata tumhara Bas
Hamein He Dil Se Khushi Milti,
Apni Zindagi Ki Kitaab Mein
Naam Hamara Bhi Likh Liya Hota.

Dekh Lete Zara Ghor Se Shayad,
Tumhare Haath Ki Lakiron Mein
Hamari Kismat Ka Bhi Diya Hota.
Meri Khamosh Mohabbat Ka
Itna To Sila Diya Hota,
Tumhare baghair jena kia,
jeene ka khawab bhi nahi dekh sakta..
saanso k baghair tu shayad kuch pal jee sakta ho,
laikin tumhare bina nahi..
tum wo pehle larki ho jise jaan se barh ker pyar kerne laga ho..
mera aaj mere kal,
mere din mere pal,mere duaon mein mere sadao mein..
sirf tum or sirf tum ho.
tare toot jaen ge,
chand bujh jae ga,
laikin waqt yunhi ther jae ga..
umeed ki akhiri kiran nikalne tuk akhiri saans chalne tuk,
mein tumhara intezar karo ga..
Kaisay Kahun K Apna Bana Lo Mujhey,
Bahon Me Apni Sama Lo Mujhey,


Bin Tumhary Ek Pal Bhi Ab Kat-ta Nahi,
Tum Aa Kar Mujhi Se Chura Lo Mujhey,


Zindgi To Wo Hai Sang Tumhary Jo Guzray,
Dunia K Ghamon Se Ab Chura Lo Mujhey,


Meri Sab Se Gehri Khuwahish Puri Ho,
Tum Agar Pass Apnay Bula Lo Mujhey,


Ye Kaisa Nasha Hai Jo Behka Raha Hai,
tumhara Hun main To Sanbhalo Mujhey,


Najanay Phir Kaisay Guzray Gi Zindagani,
Agar Apnay DIl Se Kabhi Tum Nikalo Mujhey.../
Kaash Koi Samjha Daita ...


Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain


Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain


Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...
Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi,
Gaye dinon main bohat ba kamal thay hum bhi,
Hamari khoj main rehti thein titlyan aksar,
K apnay shehr ka husn-o-jamal thay hum bhi,
Zameen ki goad main sir rekh k so gaey aakhir,
tumharay hijr main kitnay nidhal thay hum bhi,
Zaroration ne hamara zamer chaat liya,
Wagarna qaa’el-e-rizq-a-halal thay hum bhi,
Hum ask ask bikhartay rahay isi dhun main,
K zindagi main kabhi laazwal thay hum bhi!
tumhara naam sunte hi bahut kuchh yaad aata hai
Khushi me guzra hua ek zamana yaad aata hai

Itni door ho gaye ho humse tumhe bula bhi nahi sakte
Aankhe bandh karte hi tumhara chehra yaad aata hai

Kaise bhuladu tumhe ab tum hi batado Sanam
Kiya tha kabhi jo tumse wo wada yaad aata hai

Kabhi jaker sagar kinare banaya tha jo gharonda humne
Aaj toota hua ret ka wo mahel yaad aata hai

Kabhi socha na tha maine hum yu bichhad jayenge
Bachpan ka wo roothna wo manana yaad aata hai

Char pal wo Zindagi ke wo mehfilo ki roshni
Deepak ke ujale me bhi gum ka andhera yaad aata hai

Ab to is tanhayi me ghoont ke mar jayenge hum
Hum se wo chhoota hua tumhara daman yaad aata hai
Hawa Jab Teez Chalti Hai
Tumhari Yaad Aati Hai..

Kabhi Chanda Ko Main Dekhon
Kabhi Tarey Main Gintta Hoon
Kabhi Chandni Muskurati Hai
Aur Ziker tumhara Hota Hai....

Zamana Hai Bohat Zalim
Kahin Yeh Cheen Na Lay Tum Ko
Isi Liyey Main Buss Khamosh Hota Hoon
Aur Ziker tumhara Hota Hai
kaha tha na....
mujhay tum iss tarha sotay huay mat chor k jana
mujhay baishak jaga dena
bata dena
zindagi k safar mei meray sath chal nahi sakhti
khuwaishon k safar mei meray sath chal nahi sakhti
tumhain rasta badalna hai
meri hadh se nikala hai
tumhain kis baat ka darr tha
tumhain janay nahi deta ?
kahin pe qaid ker leta ?
aray Pagli
Mohabbat ki haqeeqat mei zabardasti nahi hoti
jissay rasta badlna ho ..
ussay rasta badlnay se
jissay hadh se nikalna ho
usay hadh se nikalnay se
na koi rok paiya hai na koi rok paye ga
meray sathi haqeeqat hai
tumharay baad khonay k lia kuch bhi nahi baki
magar khonay se darta hon
mei abb sonay se darta hon