Apnay hothon par
sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !
Koi aan
soo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !
Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !
Cha raha hai
saari ba
sti mein andhera,
Ro
shni ko ghar jalana chahta hoon !
Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main
shayraana chahta hoon !
Apnay hothon par
sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon