Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Ki
sine Bujha Diya Mujhko,
Tariqeeyon Ka Fa
sana
suna Diya Mujhko,
Abhi Han
sa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,
Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,
safed
saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Fa
seel-E-
sheher Pe Ki
sne
saja Diya Mujhko,
Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,
Na Jaane Kaun
sa Jazba Tha Ji
sne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Du
shman Bana Diya Mujhko...