gham SMS Messages369 messages

Kabhi Arsh Per Kabhi Farsh
Kabhi Un K Dar Kabhi Darbadar
gham-E-Aashiqi Tera Shukriya
Main Kahan Kahan Se Guzar Gye
Udasi Saray Ghar Mein Pahilti Jati Hay gham Ban Kar

Dar O Deewar Pe Likh Do, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Na khabar koi na paigham aaya hai,

jo chaha nahi tha wohi anjam aaya hai,

Kia hum ko bhula bethe ho dost,

Aaj na koi 'DUA' na"SALAM"aaya hy.
Ghum Bade Aate Hai Qaatil Ki Nigahon Ki Tarah,
Tum Chhipa Lo Mujhe Aye Dost Gunahon Ki Tarah,

Apni Nazron Mein Gunehgaar Na Hote, Kyon Kar
Dil Hi Dushman Hai Mujrimon Ke Gawahon Ki Tarah,

Har Taraf Zeest Ki Raahon Mein Kadi Dhoop Hai Dost,
Bas Teri Yaad Ke Saaye Hai Panahon Ki Tarah,

Jinki Khatir Kabhi Ilzaam Uthaye,
Wo Bhi Pesh Aye Hai Insaaf Ke Shaahon Ki Tarah...
Bulaoon ga na miloon ga na khat likhoon ga tujhe,
Teri khushi kay lia khud ko ya saza dun ga ..
Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi,
Lamha lamha wafaaon ki jaza milti rahi.
Cherh kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
gham ke sholon ko yun hi hawaa milti rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti rahi.
Paththron ki gird takrata raha ''Rahat'' ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti rahi.
Tum poochho ore main na btaon
Aesay to halaat nhi
.
Aik zra sa dil toota hay
Ore to koi baat nhi
.
Kisko khabar thi sanwal.e.badal bin brsay urr jatay hain
Sawan aaya lekin apni qismat main brsaat nhi
.
Toot gia jb dil to phr saanson ka chalna kia maani
Goonj rhi hay keun shehnaie jb koi baraat nhi
.
Meray ghamgeen honay pr ahbaab hain keun heraan QATEEL
Jesay main pathar hoon meray seenay main jazbaat nhi
Kal raat menien apney sarey gham asmaan ko suna diye "DOST"
Aaj me khamosh hoon aur roo raha hai asmaan...!
kal mene apne sare gham asmanan ko suna deye faraz

bus phir main sota raha or wo rota raha ekely tanaha..
Us Ki Muskan Mein B cHUPA kOI gham Tha


Faraz



Warna Halki Muskkrahat Pe Ansu Nai Aaty







yeh duniya hai yahan pey yeh tamasha ho b sakta hai
abhi tu gham humara hai tumhara ho b sakta hai
Na ye samjo k tum hi akhri uski mohabbat ho
mohabbat juram hai usey dobarra b ho sakta hai
tera milna
bichar jana
bichar k pher mil jana
humesha ki judai ka ishara ho b sakta hai
Tum apny ap ko hrgiz koi ilzam mat dena ye soda hai mohabbat ka khasara ho b sakta haiii
Kab usay intizaar mera tha
Ye to bas aetibar mera tha

Meri khush fehmi thi shayad
K us pe kuch ikhtiyaar mera tha

Kabhi uski bhi aisi haalat thi
Jaise dil-e-beqaraar mera tha

ghamon mein qaid kar gaya mujhe
Wohi jo gham gusaar mera tha

Mein bhala kaise bhool jaon usay
Jo kabhi aik baar mera tha