gham SMS Messages369 messages

Iss Qadar Hajoom Ho Teri Zindagi Mein Khushion Ka
Keh gham Bhi Agar Guzarna Chahe To Usay Rasta Na Milay
Amin
Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi
Din Raat Daudti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Me Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi
Dil Hai ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi

Paison Ki Daud Me Aise Daude
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata E Zindagi
Iss Zindagi Ka Kya Hoga
Ki Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi
Tu Dekh Ya Na Dekh Tere Dekhne Ka gham Nahi
Par Teri Ye Na Dekhne Ki Ada Dekhne Se Kam Nahi
Wafa Ki Dastaan-E-gham Chalo Tum KO Sunatey Hen
Jo Dil Per Daagh Hen Apney Chalo Tum Ko Dikhatey Hen,

Sunoo Neendein Nahi Aatin K Dil BeTaab Rehta He
Kabhi Titlii K Kachey Rang Kabhi Jugnoo Satatey Hen,

Kabhi Jab Shaam Hoti He, Andheron Se Khafa Ho Kay
Teri Yadoon K Mandir Mein Charaagh-E-Shab Jalaatey hen.
KyuN bAr bAr tuJh kO MoHoBBaT JAtAon mAin,
BeHtAr hAi aB yEhi K TuJhE BHOOL jaOn mAin..

WaqiF tErE sAluq sE SArA jAhAn hAi,
PhiR Kyu ziNdAgE kO oR TAMASHA bAnAo mAin..

NaFrAt kA eK bAr iZhAr To kArEn sAri umAr Jo uN kO SURAT diKhOn MÄiN..

HaSrAt bhAri nigAh kA KOi sAbAb tO hAi,
Tu hAaLe diL tO pUch KAhiN MAR nA jAoN mAin..

gham kA mErE iLaAj jAb tU bHi nA kAr sAkA,
PhiR kYu nA iS JAHAN sE piChA CHURAON mAin...
Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna
Bohut Aasaan Nahin Hota, Judai Mangte Rehna

Zara Sa Ishq Karlena, Zara Si Aankh Bhar Lena
Phir Is K Baab Main Sari Khudaai Mangte Rehna

Kabhi Mehroom Honton Pe Dua Ka Hurf Rakh Dena
Kabhi Wehshat Main Us Ki Narsai Mangte Rehna

Wafaon K Tasalsul Se Mohabbat Roth Jati Hai
Kahani Main Zara Si Bewafai Mangte Rehna

Ajab Hai Wehshate Jan Bhi K Aadat Hogai Dil Ko
Sakot-E-Sham-E-gham Se Ham Nawaai Mangte Rehna

Kabhi Bache Ka Nannhe Hath Pe Titli K Per Rakhna
Kabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna
“Dil ki Batain , bata deti hain , Aankhen ,
Dharkanon ko Jaga deti hain, Aankhen ,

Dil pe chalta nahi Jadoo, Cheroon ka kabhi ,
Dil ko tu , Deewana bana deti hain ,Aankhen,

Woh hum se baat nahi karte , tu na kare ,
Haal sara unke dil ka , Suna deti hain Aankhen,

gham sada rehta nahi , Aadmi ke saath,
Ashk bana kar , Chalka deti hain Aankhen,

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan mein ,Basa deti hain Aankhen,

Ma na ke Neend aati hai , Aankhon hi ke raste ,
Magar kabhi kabar ,Neend ,ura deti hain Aankhen,

SAGAR shukar hai , Khuda ne Ata ki , Aankhon ki Neamat humain,
Dard -o-gham ,sare Dil ke , Chupa deti hain Aankhen
Aankho mein kyun aanso jalak jaate hai,
Tanhaiyo mein kyun gham yaad aate hai,
Aanso poch kar koi yeh bata de humein,
Aksar zindagi mein ghum barbar kyun ate hain...
Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

Woh Ankhain Jheel Se Ankhain Hain
Jin Main Doob Key Rooz Ubharti Hoon

Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain

Sarey Jahan Main Aise Ankhain Nahi
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

In Ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi
Kabhi Koi gham Na Pass Aye Koi

Sada Muskurate Rahain Yeh Ankhain
Har Dam Yeh DUA Main Karti Hoon

Kiya Baat Hai Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon
Abhi Tum Ishq Mat Krna

Tmhari Umar Hi Kya hay

tumhain Malom hi kia ha

K Jb Ye Ishq Hota Hai

To koi Kitna Rota Hai

Sitary Toot Jaty Hain

Sahary Choot Jaty Hain

Abhi Tum Ne Nahin Dekha

K Jb Sathi Bicharty Hain

Tu Kitna Dard Milta Hai

K Har Fursat K Mousam Mein

Hazaron gham Ubharty Hain

Hazaron Zakhm milty Hain,

Suno
Abhi Tum Ishq Mat Krna"
tumhari umr hi kia ha....
Mujh se vaaqif to mere jism ka saayaa bhi na tha
Kaisay ho jata tumhara main khud apna bhi na tha

Jitna mayuus hai woh shakhs bikhar ker mujh se
Itni shiddat se to main ne usay chaaha bhi na tha

Jaisay ilzaam lagaye hain mere sar us ne
Aisi nazaron se to main ne usay dekha bhi na tha

Meri aawaaz ka gham sheher ne jana kyunkar
Main to us bheer mein khaamosh tha bola bhi na tha..........;->
Tere Awaz Se Awaz Mila Li Jaye

Shayed Is Tarha Mere Aah Na Khali Jaye

Mausam e Gul Hai , Andhera Hai , Akaila Pan Ha

Apnay Maazi Se Koi Yaad Nikaali Jaaye

Uski Jaanib Se Likhain Khud Ko Muhabat nama

Us Se Milti Hui Tehreer Bana Li Jaaye


Din To Hi jaaye Ga Waqfay yghamay Dunya Riffat

Uski Yaadon k Liye Raat Bacha lee Jaye