Kabhi Arsh Per

Kabhi Arsh Per
Kabhi Arsh Per Kabhi Farsh
Kabhi Un K Dar Kabhi Darbadar
Gham-E-Aashiqi Tera Shukriya
Main Kahan Kahan Se Guzar Gye
  

Feb, 10 2015     115 chars (1 sms)     12839 views       Sad

more Sad SMS Messages

qareeb maut khari hai zaraa thahar jao
qazaa se aankh lari hai zaraa thahar jao

thaki thaki si fazaayen bujhe bujhe taare
bari udaas ghari hai zaraa thahar jao

nahin ummeed ki ham aaj ki sahar dekhen
ye raat ham pe kari hai zaraa thahar jao

abhi na jao ke taaron kaa dil dharaktaa hai
tamaam raat pari hai zaraa thahar jao

phir is ke baad kabhi ham na tum ko rokenge
labon pe saans ari hai zaraa thahar jao

dam-e-firaaq mein ji bhar ke tum ko dekh to luun
ye faisale kii ghari hai zaraa thahar jao X
Jaanay kub kon kisay maar day kaafir keh kar
Shehr ka shehr musalmaan huwe phirta hay
Or kuch b nahi chata apni is na gawar-e-zindagi me
ya RAB dua hai k kisi k dukh ki waja meri zaat na hoo
Paas Hote Lab Choom k Jagate Tum Ko

Rakh K Dil Pe Haath Dharkanai''n Sunate Tum Ko

Aur Jo Tum Sukoon Ki Aarzu Kerte

Rakhte Sar Seene Pe Aur Sulate Tum Ko ...
*. . . .Muddat Guzar Gayi Hai Yeh Aalam Hai Mustaqil,

dOsTo. .*

Koi Sabab Nahin Hai Magar Dil Udass Hai. . . .*
yeh duniya hai yahan pey yeh tamasha ho b sakta hai
abhi tu gham humara hai tumhara ho b sakta hai
Na ye samjo k tum hi akhri uski mohabbat ho
mohabbat juram hai usey dobarra b ho sakta hai
tera milna
bichar jana
bichar k pher mil jana
humesha ki judai ka ishara ho b sakta hai
Tum apny ap ko hrgiz koi ilzam mat dena ye soda hai mohabbat ka khasara ho b sakta haiii
'Zindagi' se poocho ye ka chahti ha
'Bus' aik zara si wafa chahti ha
'Kitni Masoom or Nadan ha zindagi
'Khud' bewafa ha or wafa chahti ha....
Ehsas dilaya hai tou milta hi nahi
Ajnabi tha tou roz mila karta tha
Ab meri hur bat ka woh matlub poochey
Jo meri soch ki tehreer likha karta tha
Manzil bhi us ki thi,Rasta bhi us ka tha
Ik mein akela tha,Kafila bhi us ka tha
Sath sath chalny ki soch bhi us ki the,
Phir rasta badalny ka faisla bhi us ka tha
Aaj ku akela hoon,Dil sawal karta hai
Log to us k thy,Kia khuda bhi us ka tha,
Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke,
Ab Phir Laut Aya Hain December,

Mere Gamo ka mausam Jata Nahi,
Ya Allah Kuch Mujh Par Karam Kar,

Jab bhi uski yaad ati hain Mujhko,
Nahi So Pata Hun Ek Karwat Par,

Ab tu Sardi bhi nahi lagti december main,
Nahi Rakhta main ek bhi Kapda Badan Par,

Allah tu Lauta de phir se wo mahine aur sardiyan,
Ya phir ye Sara Mamla hi Khatam Kar,
Tum
Abr-e-Guraizaan ho,

Main Sehra ki Maanind hoon,

Do Boond Jo Barso gay,

Be-kaar me Barso ge,

Hy Khushk bahot Matti,

Har Simt Bagoly hain,

Sehra k Bagolon se,

Uthtay huye Sholay hain,

Tum Khul K Agr Barso,

To Sehra me Gulistan ho,

Par Tum se Kahen kaisy.?

Tum
Abr-e-Guraizaan ho,

JAL THAL
Jo Agr kr do,

TANN MANN me Nami bhar do,

Hy Khushk boht Mati,

Puri jo Kami kar do,

Phir
Tum ko Bataaen ge,

Tum
Meri MUHABAT ho.
kon kis k sath kitna mukhliss hay
waqat har rishty ki bata deta auqaata hay