Gham shairi

Gham shairi
Bulaoon ga na miloon ga na khat likhoon ga tujhe,
Teri khushi kay lia khud ko ya saza dun ga ..
  

Jun, 18 2013     95 chars (1 sms)     2658 views       Sad

more Sad SMS Messages

*. .yaaaad. .*

Shab K Pichle Pehar Tak,

Main Leta Raha Hichkiyaaan,

Aur Phir So Gaye Tum. .*
Kab usay intizaar mera tha
Ye to bas aetibar mera tha

Meri khush fehmi thi shayad
K us pe kuch ikhtiyaar mera tha

Kabhi uski bhi aisi haalat thi
Jaise dil-e-beqaraar mera tha

Ghamon mein qaid kar gaya mujhe
Wohi jo gham gusaar mera tha

Mein bhala kaise bhool jaon usay
Jo kabhi aik baar mera tha
tu nay mujh say poocha hay, kay mein kesay rehta hon
yeh jo jalta dard sa hay, kesay usko sehta hon
sham dhalay dehleez pay bethay, kya tujhko ab bhi sochta hon
jab yad bikharnay lagti hay
aur sans attuknay lagti hay
jab sooraj gumm ho jata hay
aur chand bhi jalnay lagta hay
tu khud say poochnay lagta hon
yeh mein kesay rehta hon, dard ko kesay sehta hon.
mein kuch easay rehta hon
*. . . .Muddat Guzar Gayi Hai Yeh Aalam Hai Mustaqil,

dOsTo. .*

Koi Sabab Nahin Hai Magar Dil Udass Hai. . . .*
Ehsas dilaya hai tou milta hi nahi
Ajnabi tha tou roz mila karta tha
Ab meri hur bat ka woh matlub poochey
Jo meri soch ki tehreer likha karta tha
*. . .Ajeeb rishtay hein ye chahtoon k beech,

wAs!

Koi kisi ka sab kuch hai aur
koi Kisi ka
'KUCH B Nh. . .*
Manzelain bhi uski thi, rasta bhi uska tha
Ek mai akela tha qafila bhi us ka tha
Sath sath chalney ki soch bhi uski thi
Phir rasta badalny ka faisla bhi uska tha
Aaj kion akela hon, Dil sawal karta hai
Log tu usi ke tay, kia Khuda bhi uska tha
kahan milti hai wafa in matti k haseen insanoon se
yeh log bina matlab k KHUDA
ko b yad nai kerty
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta

Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai

Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker

Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta
Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar

Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen

Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai

Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi

Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta.
Use bhul kar jiya to kya jiya,
Dam hai to use Pakar Dikha,
Likh Patthro par apne Prem ki kahani,
Aur sagar ko bol- Dam hai to ise mita
kar dikha.
neend se kiya shikwa karun main....! sagar

qasoor to us chehray ka hai jo mujhe sonay nahi deta.....!
Kamal ka shakhs tha jisne meri zindgi tabah kar di GHALIB
Raaz ki baat to ye hai k dil us se khafa ab bhi nahi hai