Kiya SMS Messages558 messages

ajeeb tarha sy socha hai zindagi k liye
ky zakham zakham mein khilta hon mein her khushi k liye

woh mujh ko chorr gaya toh mujhy yaqeen aaya
koi bhi shaqs zarori nahee kisi k liye

sawal ye hai k uss ny kabhi nahee pocha
ky aap sochty kaisy hain shairee k liye

usey khabar hai k uss ka koi nahee apna
aik aashnai bhi kafi hai ajnabie k liye

khata kisi ki ho lekin saza kisi ko mily
ye baat jabr ny choori hai her sadee k liye

ye saadgi thi mairi ya k Saad chahat thi
ky mainny khud ko paish Kiya dil lagi k liya
Mujhey Deewana Sa Laghtey Hain Terey Sheher Ke Log
Merey Daa An Se Ulajhtey Hain Terey Sheher Ke Log

Main Gaya Waqt Hoon, Wapas Naheen Aaney Wala
Kiun Mera Raasta Taktey Hain Terey Sheher Ke Log

Jab Bhi Aata Hey Mera Naa Terey Naa Ke Saath
Meri Qismat Pey Sulagtey Hain Terey Sheher Ke Log

Aur Kiyaa Doon Tujhey Ain Apni Wafaaon Ka Suboot
Ab Merey Haal Pey Hanstey Hain Terey Sheher Ke Log
Guzar gaye woh chaman se bahar ki tarah,
aankhon main bas gaye hai intezaar ki tarah,
kaise bhula de unhe hum apni yaadon se,
unhone inkaar bhi Kiya izhaar ki tarah...
Kabhi apne dil se bhi baat Kiya karo
kabhi dil ki dhadkanon ko mehsuus Kiya karo
rehte hai hum aap ke jism me dil bankar
kabhi apne dil par bhi hath rakh liya karo
Kisi khas ko nazarandaz Kiya nhi jata,

jinhe bhul nhi skte unhe yaad Kiya nhi jata.

Ye yaadein to sahil hai un lamho ki,

Jin lamho ko dobara jiya nhi jata.
Ho Sakta Hai Ki Hum Saath Reh Na Paaye
Ek Dusre Se Kuch Keh Na Paaye
Itni NazdKiyaan Na Badayiye Hum Se
Ki Hum Duriyon Ko Seh Na Paaye
Khushi Chah Jati Hai

Chehre Pe Khushi Chah Jati Hai
Ankhon Mein Suroor Aajata Hai
Jab Tum Mujhe Apna Kehte Ho
Apne Pe Guroor Aajata Hai

Tum Husn Ki Khud Ek Dunya Ho,
Shayad Yeh Tumhain Maloom Nahi
Mehfil Mein Tumhare Aane Se ,
Har Chiz Pe Noor Aajata Hai

Hum Pass Se Tum Ko Kiya Dekhen
Jab Tum Mukabil Hote HO
Betaab Nighaoon Ke Aage ,
Parda Sa Zaroor Aajata Hai

Jab Tumse Mohabbat Ki Humne
Tab Jake Kahin Yeh Raaz Khula
Marne Ka Saliqa Aata Hi Nahi
Jeene Ka Shaoor Aajata Hai
Tujhe Kiya Khabar Teri Yaad Ne, Mujhe Kis Tarah Se Satha Diya,
Kabhi Khilwaton Mein Hansa Diya, Kabhi Mehfalon Mein Rula Diya,
Kabhi Yun Huwa Teri Yaad Mein,Mere Kaee Sajde Qaza Huwe,
Kabhi Yun Huwa Teri Yaad Ne,Mujhe Mere Rab Se Malaa Diya
mai ny haq-e-muhabat ada Kiya
na kbhi ksi se gila kiye
mjy ajab is ka sila mila
mjy dil se us ny bhula diya
muhabatoon ki kitab ka
her aik warq jala diya
wo jo arzoo ka charag tha
usy nafraton ny buja diya
mjy zakum phir aik naya diya
mjy iss muhabat ny kya diya
wo jo kehty thy khush raho
wo jo thy meri jaan tum her dum hasa kro
mjhy aj unhoon ny rula diya
mera nishaan tak mita diya...;->
Ahl-e-dil aur bhee hain ahl-e-vafa aur bhee hain
aik hum hee naheen duniya say khafa aur bhee hain

Kiya hua gar miray yaaron kee zubaanain chup hain
mairay shaahid miray yaaron kay siwa aur bhee hain

hum pay hee khatm naheen maslak-e-shoreeda-saree
chaak-e-dil aur bhee hay chaak-e-qaba aur bhee hain

sar salaamat hay to Kiya sang-e-malaamat kee kamee
jaan baaqee hay to paikaan-e-qaza aur bhee hain

munsif-e-shehar kee vehdat pay na harf aajaye
log kehtay hain kay arbaab-e-jafa aur bhee hain ........;->
kuch iss qader bhi tu asaan nahin ishq tera
yeh zher dil main uter ker hi raas aata hai

main tuj ko pa k bhi khoya hua sa rehta hoon
kabhi kabhi tu mujay tu ne theek samja hai

mujay khaber he k Kiya he judainyon ka aazab
k main nain shakh se gul ko bechirtay daikha hai

main muskura b para hoon tu kiyon khafa hain ye loog
k phool tooti tooti hoi kaber pe bhi khilta he

ussay ganwa k main zinda hoon iss tarha mohsin
k jaisay taiz hawa main charagh jalta hai
Zamanain bher ki nigahoon main jo khuda sa lagay
wo ajnabi hai mager muj ko aashna sa lagay

najanain kab mairi duniya main muskuray ga
wo aik shakhs k khaboon main bhi khafa sa lagay

ajeeb cheez hai yaro yeh manzaloon ki hawas
k rahzen bhi musafer ko rehnama sa lagay

dilay tabah! tera mashwara hai Kiya k mujhay
woh phool rang sitara bhi bewafa sa lagay

hoi hai jis say manawer her aik aankh ki jheel
woh chand aaj bhi mohsin ko kamnama sa lagay