Kiya SMS Messages558 messages

Ajeeb Tarahse Socha Hai Zindagi Ke Liye,
Ke Zakhm Zakhm Main Khulta Hoon Har Khushi Ke Liye,

Wo Mujhko Chhod Gaya To Mujhe Yaqeen Aaya,
Koi Bhi Shakhs Zaroori Nahi Kisi Ke Liye,

Sawal Ye Hai Ke Usne Kabhi Nahi Puchha,
Ke Aap Sochte Kaise Hai Shayri Ke Liye,

Use Khabar Hai Ke Uska Koi Nahi Apna,
Ek Aashnayi Bhi Kafi Hai Ajnabi Ke Ilye,

Khata Kisiki Ho Lekin Saza Kisiko Mile,
Ye Baat Jabar Ne Chhodi Hai Har Sadi Ke Liye,

Ye Saadgi Thi Meri Ya Ke Saad Chahat Thi,
Ke Maine Khud Ko Kiya Pesh Dillagi Ke Liye
Unhein ye Shikayat he
hum se kr?

hum har kisi ko dekh kar Muskurate hain,

Na Samajh hain Who Kiya
janey,

Humein To Har Chehrey Mien Ap Nazar Atey Hain.
Unhein ye Shikayat he
hum se kr?

hum har kisi ko dekh kar Muskurate hain,

Na Samajh hain Who Kiya
janey,

Humein To Har Chehrey Mien Ap Nazar Atey Hain.
Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad Kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad Kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad Kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad Kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us waqt ki dulhan ko bohat yaad Kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad Kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad Kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad Kiya
tamam umar wohi qissa-e-safar kehna!
ky asaka na humy apny ghar ko ghar kehna

jo din ho toh tairy wisl ki dua kerna
jo raat ho toh dua he ko beyasar kehna

ye keh k doob gaya aaj aakhri soraj
ky hosaky toh isi shab ko ab seher kehna

wo shaqs mujh sy bohat badguman sa rehta hai
ye baat uss sy kaho bhi toh soch ker kehna

kabhi wo chand jo pochy k sheher kaisa hai?
bujhy bujhy hoye lagty hain baam-o-darr kehna

wo aik main ky maira sheher bhar ko apny siwa
tairi wafa ky taqazon sy beykhabar kehna

wo aik tu ky taira her kisi ko mairy begher
mammlat-e-muhabbat mein muat''aabar kehna

wafa ki tarz hai Muhsin ky misslehat Kiya hai
ye taira dushman-e-janna ko bhi charrah''gar kehna
*Main yun sanbhal gai ky tairi bewafai ny
Beaitibar"ion sy shanasa Kiya mujhy

Woh apni aik zaat mein kul qainat tha
Duniya ky her faraib sy milwa dia mujhy
Tumse door rehkar tumhe MISS Kiya hamne...Tumhare liye God se WISH Kiya humne...Tumhari YAAD jab ayi to bade pyar ke sath SMS Kiya hamne....
Aaj Kiya zikr kisi Ne jo TumHara
Halkey Halkey Say phir Tum YaaD Anay Lagay

Main Purani Baaton kay samander Main DooBney laga
Dil Main Ek Baar phir Tum utarnay lagay

palkoon kay Darwaazey ko BanD Kiya main Nay
Aur Ansoo Ban k Tum Aankhoon Say Behnay Lagay

BeBasi itni k Mare Haath uth Gay
DoBara ALLAH Say Tumhian Mangnay Lagay

zikr Tumhara sun ker Ek Baar phir
Mare jazBaat Tumhari Tamana kernay lagay

Bana k Tasveer Teri Mare zehn Main
Mare Tootey Armaan Rooney lagay

Paa k TumHian khwaaBoon Main Hum
jaag k phir Tumhian khooney lagay

Waada chahta hoon TakDeer sey Yeh
k BaDal Dey woh jo Honay lagay
koch kehnai ka waqt nahi hai koch na kaho khamoosh raho
ai logo khamoosh raho haan ai loogo khamoosh raho

sach acha, par is kai jalo main, zehr ka aik piyala bhi
pagal hu, kiyoon nahaq ko "suqraat" banoo, khamoosh raho

haq acha par is kai liya koi aur marai tu aur acha hai
tum bhi ki "mansoor" hu jo soli pai charhoo, khamosh raho

un ka yeh kehna soraj hi dharti kai phairai karta hai
sar ankhoon par, sooraj hi ko ghomnai do, khamoosh raho

majlis main kooch habs hai aur zanjeer ka ahan chubhta hai
phir soocho, haan hir soocho, haan phir soochoo, khamoosh raho

garm ansoo aur thandi anhain, man main Kiya Kiya mausam hain
is baghya kai bhaid na kholoo, sair karoo , khamoosh raho

AJJ JAANEY KI ZID NA KAROU
HUM TOU MAR JAYE GAY HAYE LUT JAYEGEY
AESI BAATAIN Kiya NA KAROU..

TUM HI SOUCHOU ZARA KYON NA ROKAIN TUMHAIN
JAAN JATI HIA JUB UTH K JATEY HO TUM
TUMKO APNI QASAM JAN E JAAN
BAAT ITNI MERI MAAN LOU...

AAJ JANEY KI ZID NA KARO
YOUN HI PEHLOU MAI BETHE RAHO
AAJ JANAY KI ZID NA KAROU
HAYE MAR JAYEGEYHUM TOU LUTT JAYEGEY
AESI BAATAIN Kiya NA KAROU...

WAQT KI QAID MAIN ZINDAGI HAI MAGAR
CHAND GHARYAAN YAHI HAI JO AZAAD HIA
INKO KHOOO KAR MERI JAAN E JAAN
UMR BHAR NA TARASTEY RAHO.......
AAJ JANAY KI ZID NA KAROU

KITNA MASOOM RANGEEN HAI YE SAMAAAN
HUSN AUR ISHQ KI AAAJ MERAAJ HAI
KAL KI KISS KO KHABAR JAAAN E JAAN
RUK LOU AAJ KI RAAT KO.......
AAJ JANEY KI ZID NA KAROU.....
Bay baat bigartay rehtay ho
Bay chain hamesha rehtay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?
Ratoon ko jagtay rehtay ho
Aur taray bhi tum gintay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?
Zikr jo mera chalta hai
Chehray ka rang badalta hai
Bay chain say tum ho jatay ho
Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho ??
Us Ne Ek Bar Mujh Se Poocha
K Batao
Mujhe Kitna Yaad Kerte Ho
Mai Ne Kaha
Bohat Zyada
Us Ne Doobara Sawal Kiya
K Phir Bhi Aakhir Batao To Sahi
Mai Ne Kaha
Bohat Bohat Bohat Zyada
Mera Jawab Sun Ker Wo Zer-e-Lab Muskurayi
Aur Kaha
"Ab Mujhe Se Bhi To Poocho"
Aur Jab Mai Ne Poocha
To Us Ki Muskurahat Gehri Hoti Chali Gayi
Aur Halka Sa Gulabhi Rang
Us K Chehre Pe Aa Ker Guzar Gya
Us Ne Mujhe Doobi Hoi Nazron Se Dekha
Phir Palken Jhuka Ker Boli
"Pagal"
Yaad To Unhe Kiya Jata Hai
Jinhe Aadmi Bhool Jaye