Kiya SMS Messages558 messages

mEra tA''jub ajab To Nahi

w0 shakhs pehlay sA Ab to nhi

wafa ka Kiya Gilla karon main us sE
W0 mera kab tha, jo ab Nhi
Wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
LarKiyaan bewafaa nahi hoti Per
Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
LarKiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
LarKiyaan Bewafaa nahi hoti !!!
Be sabab be waja kiyu dil jalate ho
tod ker dil mera fir pas bulate ho

tum se hoker khfa jab ham rooth jai ger
apni baho main bherke pyaar fir jatate ho
besabab be waja...

Kiya karo Kiya na karo kuch samjh main aye ata
mujh ko lagne laga hai tum bhut satate ho

Kiya samjh pai ham pyaar ko tere woh sanam
darde dil dil ka tum had se badate ho

hayera hoke ham door jab jate hai
apni majboriya bata ker fir hame samjhate ho

tera andaze bayan kabhi kuch tu kabhi kuch khta hai
ham ko lagne laga hai ke tum hame khoob banate ho

besabab be waja kiyu dil jalate ho
tod ker dil mera fir tum muskorate ho
Tu Nay Kaha K Ishq Tu Dhong Hai
Tujhay Ishq Ho Khuda Karay

Koi Tujh Ko Us Say Juda Karay
Teray Hont Hansna Bhool Jaein
Teri Aankh Pur Num Raha Karay

Tu Uski Batein Kia Karay
Tu Usko Dekh K Ro Paray

Tujhay Hijr Ki Woh Jhari Lagay
Tu Milan Ki Har Pal Dua Karay

Teray Khuwab Bikhein Toot Kar
Tu Kirchi Kirchi Chuna Karay

Tu Nagar Nagar Phira Karay
Tu Gali Gali Sada Karay

Tujhay Ishq Ho Phir Yaeen Ho
Usay Tasbihon Pay Parha Karay

Mein Kahon K Ishq Tu Dhong Hai
Tu Nahi Nahi Kiya Karay
Ek Andekhi Si Surat In Aankho Main Rehti Hai
Jis Say Kabhi Mili Nahi Phir Kiyon
Yeh Nigaahain Un Say Milnay Ko Tarasti Hain

Main Jo Ek Murat Dil Main Banae Betha Hoon
Kiya Maalum Kay Shayad Yeh Nigahain
Usi Ki Talaash Karti Hai
duniyaa se dil lagaakar duniyaa se kyaa milegaa
yaad-e-Khudaa kiye jaa tujh ko Khudaa milegaa


daulat ho yaa hukuumat taaqat ho yaa javaanii
har chiiz mitane vaalii har chiiz aanii-jaanii

yeh sab Guruur ik din mittii mein jaa milegaa
aataa nahii.n palaTakar guzaraa huaa zamaanaa

Kiyaa Khwaab kaa bharosaa Kiyaa maut kaa thikaanaa
ye zindagii ganvaa kar Kiyaa faayedaa milegaa
Karke mujhe deewana jaa rahe ho kyo,

Kaise Kiya tha Humsafar banne ka Vada,

Ye jara likh dena!

Agar teri nazaro me mera pyar Ek zurm hai to

Tum apni taraff se

Mujhe koi Saza Likh dena.
Suna hai nazdeeKiyaan ehsaas dilati hain..
dooriyan betaabi badhati hain..
par,
jab paas hote hain woh to hum betaab rehte hain…
door jaane par kyon unka ehsaas karte hain…

samandar ko tha garoor gehraayi par apni..
aasmaan ko tha garv oonchaayi par apni…
sharm se zaar zaar ho gaye dono….
jab unhe bataayi humne dosti apni…
Tere Mere Is Pyar Pe Is Zamane Ka Pahera Hai
Zamana Ye Nahi Jaanta Hamara Pyar Kitna Gahera Hai
Har Waqt Subha Shaam Dostaon Se.
Chahate Huwe Bhi Kiya Zikr Tera Hai
Teri Har Saans Se Milti Hai Zindagi Mujhe
Dhadakta Hai Jo Tere Seeney Me Wo Dil Mera Hai
Mita De Faasle Ke Majbooriyan Achi Nahin Lagti
Aa Bhi Ja Ke Tujh Bina Zindagi Achi Nahin Lagti
Mat Ker Jhoote Waade Ke Tasaliyan Achi Nahin Lagti
Aa Bhi Ja Ke Tanhaiyan Achi Nahin Lagti
Mujhe Roshni De Ke TareeKiyan Achi Nahin Lagti
Aa Bhi Ja Ke Bechainiyan Achi Nahin Lagti
Band Kero Yeh Mohabbat Ki Baatein
Ke Muj Ko Yeh Kahaniyan Achi Nahi Lagti
Agr woh pochein tou un se kehna un ka aashiq basta tha yahan

Dekhna un ko woh pepal ka peid aur kehna gaaney woh tanhai mein gungunata tha yahan.

Le jana un ko darwazey pe aur kehna intezaar woh Kiya karta tha yahan.

Phir rakhna ungli dil pe aur kehna.. Shikayat karta tha ke dard hota hai yahan.
Zinda Hain Tu Kiya Hai Jo Mar Jain Hum Tu Kiya,

Dunya Se Khamoshi Se Guzar Jain Hum Tu Kiya,

Hasti He Apni Kiya Hai Zamane Ke Samne,

Ik Khuwab Hai Jahan Main Bikhar Jain Hum Tu Kiya,

Ab Kon Muntazar Hai Humare Liye Wahan,

Shaam Aagai Lout Ke Ghar Jain Hum Tu Kiya,

DiL Ki Khalish To Sath Rahe Ghi Tamam Umar,

Darya-e-Gham Ke Paar Utar Jain Hum Tu Kiya . . . (+_+)