Kaha SMS Messages1166 messages

tumhin kis nay Kaha tha
dopahar kay garam souraj ki taraf deekho
aur itni dier dekho !!
kay beenaye pighal jaye!!!

tumhin kis nay Kaha tha???
aasmaan say toot ti andhii uljhti bijlyon say dosti kar lo


aur itni dosti kar lo
kay ghar ka ghar hi jal jaye

tumhin kis nay Kaha thaa??
kay aik anjanay safar main
ajnabi rah rooo kay hamraah door tak niklo
aur itni door tak



kay woh rasta badal jaye
KIS KO MALOOM THA
Yonhi chaltay hoay raston main kai hum safer jo milay
Aur bichertay gaay
Aatay jatay hoay mosmon ki tarhan
App hi apni gard e safer hogaay
Na kabhi main nay phir mur ker dekha unhain aur na socha kabhi
Wo Kahan kho gaay
Jo gaay,so gay
Phir yah kaisay hoa
Yon hi ik ajnabi,dekhtay dekhtay
Dil main utra,nazar main sama sa gaya
Aur dhanak rang jazbay saja sa gaya
Jaisay badal koi,bay irada yon hi,meri chat pay ruka
Aur bersay bina is per thera raha
Kia tamasha hoa,samnay thi nadi aur koi tashna lab
Is ko takta gia aur pyasa sa raha

Aik lamhay main simtay gi yah dastaan
Kis ko maloom tha!tum milo gay mujhay is tarhan bay guman
Kis ko maloom tha!
Shiddatain...

Bay tahasha hai tujhay yaad kia
Aur bhulaya bhi bohat hai tujh ko
Sari rounaq hi teray dum say hai
Aur teray bikhray huay ghum say hai

Jis qadar
Mainay talluq tera mehsoos kia
Itni gehraayi tu rohoun main hua karti hai
Jis qadar
Mainay teri zaat ko khud main paaya

Itni yaqtaayi Kahan milti hai
Faaslay waq''atain kho bethay hain
Doriyaan pheeki parheen
Itni shiddat say tujhay socha hai
Itni shiddat say tujhay chaha hai
Shiddatain ishq ki miraaj hua karti hain!!
Uski yaadon ka silsila hoga
is Kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay maine magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
Baarishon ke mausam main Waqt ke andheron main
Maine us se poocha tha Chorr to na jaoge

Haath tham ker us ne Kaan main yeh bola tha
Kaise chorr sakta hoon Tum to Jaan ho meri

Aur aaj aisa hai Waqt ki tamazat main
Wehshaton ke Mausam main Maine us se poocha hai

Chorr kar hi jaana tha Muskurati galiyon main
Aas kyun dilayi thi Pyaas kyun jagayi thi

Mere in sawalon per Na woh chonka na woh thehra
Chalte chalte itna Kaha Mausamon ke khel hain sab
tu nain daikha hai kabhi ik nazar shaam k baad
kitny chup chaap say lagty hian shajar shaam k baad

tu suraj hai tujhay Kahan maloom raat ka dard
tu kisi roz meray ghar main uter shaam k baad
Dukh chhupay hoay hain hum dono
Zakham khaay hoay hain hum dono
Aisa lagta hay phir zamany ko
Yaad aay hoay hain hum dono
Tu kabhi chandani thee dhoop that main
Ab to saay hoay hain hum dono
Jaisay ek doosary ko paa kar bhee kuch ganwaiy hoay hain hum dono
Jaisay ek doosary say sharmindah
Sir jhukay haoy hain hum dono
Jaisay ek doosaray ki chahat ko
Ab bhulay hoay hain hum dono
Ishq aisa Kahan ka
Kaha usne bharosa dil pe itna nai karte
Kaha meine mohabbat mein kabhi socha nai karte
Kaha usne bohat khush rang dunya k nazare hain
Kaha meine jab tum ho to ham kuch dekha nai karte
Kaha usne main tum se door hun lakin tumhara hun!
Kaha maine k sapne dil ko behlaya nai karte
Kaha usne teri chahat tujhe ruswaiyan de gi
Kaha maine shohrat se ghabraya nai karte,
Kaha us ne samajh jao,samajh jao aye mere dost,
Kaha main ne,deewane ko samjhaya nai karte!
Us Ne Do0r Rehne Ka Mashwara Bhi Likha Hei,
Sath He Mohabbat Ka Wasta Bhi Likha Hei,
Us Ne Ye Bhi Likha Hei Mere Ghar Nahi Aana,
Or Saaf Saaf Lafzon Mein Raasta Bhi Likha Hei,
Kuch Harf Likhay Hein Zabt Ki Nasihat Mein,
Kuch Hurf Mein Us Ne Hosla Bhi Likha Hei,
Shukriya Bhi Likha Hei Dil Se Yaad Karnay Ka,
Dil Se Dil Ka Hei Kitna Faasla Bhi Likha Hei,
Kya Usay Likhain Or
Kya Usay Kahain,
Jis Ne Be Jaan Kar K Jaan Bhi Likha Hei ..!
Koi es tarah say meray sath adawat tu karta
Qaid kar leta mujhay aur hakumat tu karta
Meinay yeh kab Kaha tha k woh sab ko chor day
Woh apnay andaz say karta par mohabbat tu karta
~~~~~TearZ~~~~~
Us nay Kaha tha k tumhari aankhein bohat roshan hain
Mein kuch soch kar hans pari
Us bekhabar ko kia khabar
K barish k baad hee mausam nikhartay hain
Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gee
Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab moharam k tarah eid manati ho gee
Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gee
Dil ki masoom raggin khud he sulagti ho gee
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gee
Roop day kar mujhay is mein shezaday ka
Apnay bachon ko Kahani woh sunati hogee