Kaha usne bharosa dil

Kaha usne bharosa dil
Kaha usne bharosa dil pe itna nai karte
Kaha meine mohabbat mein kabhi socha nai karte
Kaha usne bohat khush rang dunya k nazare hain
Kaha meine jab tum ho to ham kuch dekha nai karte
kaha usne main tum se door hun lakin tumhara hun!
kaha maine k sapne dil ko behlaya nai karte
kaha usne teri chahat tujhe ruswaiyan de gi
kaha maine shohrat se ghabraya nai karte,
Kaha us ne samajh jao,samajh jao aye mere dost,
Kaha main ne,deewane ko samjhaya nai karte!
  

Jun, 03 2010     466 chars (3 sms)     4953 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

apni to wo misaal hai jesay koi darakht,
dunya ko chhaon bakhshay aur khud dhup main jalay...
Khwaab Aur Haqeeqat Main

Farq Shayad Itna Hai

Khwaab Toot Jaata Hai

Haqeeqat Tod Deti Hai ....!!
Na Gham Hai Na Hai Ehsaas Khushi Ka.
Na Deed Hai Na Hai Intezaar Kisi Ka.
Main Tu Akela Chal Raha Hoon Andheron Main.
Ab Tu Ye Bhi Yaad Nahi Kab Hua Tha Samna Rosheni Ka.
Tum Pe Khatam Sari Chahat Ho Gi ..

Phir Na Kisi Pe Ye Inayat Ho Gi

Kuch Is Tarah Se Karein ge Yaad tum Ko

Na Tum ko Shikwa Hoga Na Zamanay Ko Shikayat Ho Gi
Dil tordna humari aadat nahi

Dil hum kisi ka dukhatay nahi

Barosa rakhna merri wafaoon pe

Dil main basa ker hum kisi ko buhlatay nahi
Ek Yahi Aas Hii Kaafi Hy Mere Jeene Main

Dil Nahi Aap Dhadakte Hyn Mere Seeney Main
Us muqam per hun jahan na maal na naam ka charcha hai

Apno se main b bichar gaya wohi qisaye aam ka charcha hai

Mout k dar per kara hun main jannat ki aas liye huwe

Zulam tou hai k haat mein mere apne amal ka parcha hai
Kash K Ab K Bars Wo Yeh Keh Day . Aao K Tanha Hoon Teri Tarha, Tery Liye.
Gar Poochey Koi Mujh Sy Tere Ta''aluq Ki Nisbat

Nikaal K Dil Apna Hatheli Py Rakh Doon Ga.
Raat yun dil mein teri, khoyi hui yaad aayi,
Jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaye,
Jaise sahraaon mein haule se chale baad-e-naseem,
Jaise bimaar ko be-wajaah quraar aa jaaye.
Chehra Wo Hatho Se Chupate Q Hai,

Sharmate Hai To Samne Aate Q Hai,

Kahte Hai Wo Hme Mar-2 Ke Na Jine Ko,

Fir Aate Hai To Laut K Jate Q Hai.
Bichra hai Jo aik baar Tu milte nahi daikha
iss zakhm ko hum nai kabi Silte nahi daikha

ik baar jise chaat gaye dhoop ki khwahish
Phir Shaakh pe iss phool ko khilte nahi daikha

aik paid Gira hai Tu Jarain tak nikal aayein
Jiss paid ko aandhi main b hilte nahi daikha

Kantoon main giray phool ko Choomay Ge Laiken
Titli k paron ko kabi Chiltay nahi daikha

Kiss Tarah mere Rooh harri kar gaya aakhir “N“
woh Zehar jisse jism main khulte nahi daikha..