Bewaf SMS Messages231 messages

Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Dekhna Hum Ek Din Gard-e-Safar Hojayein Gay
Rastoun Say Ashana Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Gardish-e-Halaat Se Bas Kat Gaye Hain Rastay
Qabil-e-Qaid-o-Saza Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Kia Khaber Thi Is Qadar Na’ashana Ho Jayein Gay
Ajj Kal Pechanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Fasaloun Say Bhi Guzarna Phir Zara Sa Dekhna
Aisa Lagta Hai Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Ek Dojay Ki Buhat Tareef Kerna Jabaja
Maan Lay Dil Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja,
Tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
Tumhare khel ko me samaj na saka,
Tumko Bewafa kehne ka kabil na raha
Wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti Per
Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!
Humsafar ne ki Bewafai humse
To ashiyan bhi amnoon ho gayi
Ab apne khayalon ke safar me dil tute
To hume gumnaami ke raste mil gayi
Aj un aafsanon ki arzoo me dharkane gum ho gayi
To yeh badnaseeb asra un sarkonme kahin kho si gayi
Aj un badnaam gali me kahin kho gaye humari alfaaz
Yeh badnaami ke ajeeb ittefaq hain unki humse aitraaz
Yeh badnaseeb zarhanawazi kare us chehre ki armaan
Sau chehreke ek chehrese juri hay humari dastaan
Us chirag ki kasam aj ruswayi liye mohabbat ke saaz
Wah kismat! itmaam humsafar ke Bewafai huye raaz
Ja aj batade us Bewafase ki humne jala diye woh paygaam
Kasam us Bewafai ki, manzoor hay hume jhute ilzaam.
Jo aansoo na hote ankhon mei,
to aankhen itni khubsurat na hotin.
Jo dard na hota dil mei, to khushi ki koi keemat na hoti.
Jo Bewafai na ki hoti waqt ne,
to wafa ki kabhi chahat na hoti.
Agar sochne se puri ho jatin muraaden to, dua ki kabhi zarorat na hoti.
Tum jahaan bhi raho sada khush raho,
tumhe dil se main bhula rahi hoon aaj ...
tumharay pyar ki jo haseen yaadain hain dil main,
un yaadon ko louta rahi hoon aj ...
tumhari Bewafai ka kya charcha karoon,
apni wafa pe sharma rahi hoon,
mujhe tumhari Bewafai se koi shikwa nahi,
main tumhari zindagi se hi ja rahi hoon aaj ....!!
Yeh zakham mere paas tere pyar ki nishani hai,

bhool kar bhi in par na marham lagana tum.

jab kabhi tum tanha ho aur meri yaad satati ho,

Bewafa hoon main yahi apne dil ko samjhana tum.
wo mujh ko Bewafa ka laqub deta hai
saans chalti hai mgr murda bna deta hai...

mt pooch us k maikhaney ka pata aey saqi
us k sheher ka to pani b nasha deta hai.
Ajnabi Ban Gaya Woh Yeh Keh Ker Ke
"Tum Ne Dosti Na Nibhai"
Kaisa Dost Hai Woh Dost Ko Tanha Kar Ke
Kehta Hai "Dosti Na Nibhai"
Chora Bhi Khud Hai Aur Bewafa Bhi Mujhe Kehta Hai
Kitna Bewafa Hai Meri Wafa Ko Nahi Samajhta Hai
Toota Hai Mera Dil Per Woh Nahi Samjhe Ga
Na Kabhi Samajh Paya Mujhe Na Hi Samajhe Ga
Woh Jaye Aur Dosti Nibhaye
Hum To Ajnabi Hain Hum Kya Dosti Nibhayein
mahfil na sahi tanhai tu milti hai
milan na sahi judai tu milti hai
kon kahta hai muhabbat mian kuch nahi milta
wafa nahi sahi Bewafai tu milti hai
Kahin Bhi Ziker-E-Wafa Chirr Gia Tou Log Akser
Log Hawala Dene Lage Teri Bewafai Ka
Yeh Aur Baat Hai K Hum Zabt Ker Gaye Her Baat
Werna Dukh Tou Hua Hamain Teri Judai Ka
Samny Koi Rasta Bhi Nahi
Mera Khud Se Rabta Bhi Nahi

Yaad Rakhna Bhi Ik Azab Hua
Bhol Jany Ka Hosla Bhi Nahi

Ik Din Wo Mujhe Bulaye Ga
Kia Yaqeen Hai Jo Toot_Ta Bhi Nahi

Waswasey Dil Ko Kion Sataty Hain
Wo Abhi To Wo Bewafa Bhi Nahi

Lamha Lamha Tumhare Naam Kia
Aur Kuch Mere Paas Tha Bhi Nahi