Tum jahaan bhi raho

Tum jahaan bhi raho
Tum jahaan bhi raho sada khush raho,
tumhe dil se main bhula rahi hoon aaj ...
tumharay pyar ki jo haseen yaadain hain dil main,
un yaadon ko louta rahi hoon aj ...
tumhari bewafai ka kya charcha karoon,
apni wafa pe sharma rahi hoon,
mujhe tumhari bewafai se koi shikwa nahi,
main tumhari zindagi se hi ja rahi hoon aaj ....!!
  

Jun, 03 2010     335 chars (3 sms)     4727 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo na Aaye Un ki Yaad Aa ker Wafa Ker Gai

Unse Milne Ki Tamanna SukOon Tabah Ker Gai

Aahat Hui Socha Asar Dua Ker gai

Darwaza Khula To Dekha Mazaq Hum Se hawa Ker gai
ek nazar daikh mere zarf-e-muhabat ki taraf,

hum ne dil de k khareeda gham-e-tanhai ko...
Har Ek Sawal Ka Usko Jawab Kya Deti?
Main Apni Zaat Ka Usko Hisab Kya Deti?
Jo Ek Lafz Ki Khushbu Na Rakh Saka Mehfooz!
Mai Us Ke Hath Mein Puri Kitab Kya Deti?
Teray galay main jo banhon ko daal rakhtay hain
Tujhey manaanay kaa kaisaa kamaal rakhtay hain

Tujhey khabar hay tujhey soochnay ki khatir hum
Bohat say kaam mukaddar pay taal rakhtay hain

Koee bhee faislaa hum sooch kar naheen kartay
Tumhaaray naam kaa sikka uchaal rakhtay hain
lakhon main chant k dey dey wo log yarrab
kanton ki rahguzr main b jo sath chalain humaisha
Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !
Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !
Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !
Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !
zuban kahti hai sara qasoor uska tha...

zameer kahta hai kuch zemadaar main bhi hon..
ik aag thi kay jaltay rahay jismain umar bhar,
ik dard tha kay jismain khayanat kabhi na ki!
Koi es tarah say meray sath adawat tu karta
Qaid kar leta mujhay aur hakumat tu karta
Meinay yeh kab kaha tha k woh sab ko chor day
Woh apnay andaz say karta par mohabbat tu karta
Hum To Har Ek Ko Apna Kar Risht Banate Gaye
Jahan Jahan Se Guzre Apni Yaad Chodte Gaye
Par Kismat Ka Likha Bhi Ajeeb Hai.
Gunehgar Koi Aur Tha Hum Saza Pate Gaye
Unse roz milne ko DIL CHAHTA HAI.....
Kuchh sunne sunane ko DIL CHAHTA HAI.....
Tha kisi ke MANANE KA ANDAZ aisa....
Ki phir RUTH jane ko DIL CHAHTA HAI....

Rukh-e-Shabab Sy
Aanchal Jo Sarakta Dekha

Chaand Aakhash k
Jhurmat Sy Nikalty Dekha

Mujh Ko Mehsoos Hua
Dard-e-Judai Kia Hy

Main Ny Ek Phool Ko
Tehni Sy Bikharty Dekha

Zindagi Kia Hy Mere
Dost Tu Mujh Sy Pooch

MainNy Gulshan Ko
Baharo''n main Ujarty Dekha