Yeh zakham mere paa

Yeh zakham mere paa
Yeh zakham mere paas tere pyar ki nishani hai,

bhool kar bhi in par na marham lagana tum.

jab kabhi tum tanha ho aur meri yaad satati ho,

bewafa hoon main yahi apne dil ko samjhana tum.
  

Jun, 03 2010     194 chars (2 sms)     2619 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kante Meri Anaa K Mujhe Rokte Rahe,
Main Us Ki Gali se Ban K Dewana Guzar Gaya,
Main Wo Shakhs Tha Jo Hiqarat Ki Aankh Se,
Darya Ko Dekhta Huwa Piyasa Guzar Gaya...
Aako....
Main Teray Ishq ki inteha chahta hoon.


Meri sadgi dekh kiya chahta hoon.
Tujhe Kaise Bhulata Main?

Tujhe Main Bhool To Jata

Magr Tere Ta''aluq Se

Jo Chahre Samne Aaye

Jo Raste Samne Aaye

Jo Lamhe Samne Aaye

Jo Rishte Samne Aaye

Unhain Kaise Bhulata Main?

Tujhe Kaise Bhulata Main?
Jab apne aap se kat ker jiya hoon jaan-e-Fareed
To phir main tujh se taaluk bahaal kya kerta

Jise badan ki nahin pyaar ki zaroorat thi
Woh badnaseeb tere khad-o-khaal kya kerta?
Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay
Ao hum ik dusray ko

Bohat pyar karain..

aur Phir duja hO jaen.

Mohabat ko zinda rakhnay ka

iss k siwa koi tareka nhi.
Titliyon Ko Pakarna Uski Aadat Thi Purani
Her Aik Se Lerna Uski Aadat Thi Purani
ham Uske Saath Chal Diye Yeh Jante Huy Bhi
Raste Meion Chor Dena Uski aadat Thi Purani
jb ksi bhule hue dukh pe nazar per jae
ashk ho jate hn aankhon se rawan sham ke bd
Tumhe Kahabar Hee Nahi Tum jo Lot Jao ge
Tumhare Hijar Mein Lamha Hona Hai
Hamari Roh Pe Jab Bhi Aazab Utrain Ge
Tumhari Hee Mohabbat Ko Iss Dil Ki Dhaal Hona Hai
Meray janay pay aay jaana
pereshan tum nahin hona
kabhi chup ker nahin rona
judai zeher hoti hai
mujhay maloom hai lakin
furaq-o-hijer ka mosam
yaqeenen beet jayega
yaqeenen wasal kay lamhay
dobara lot aain gay
wohi shamain wohi raatain
wohi qissay,wohi batain
wohi phir dastaan hogi
muhabbat meherbaan hogi
Jo kahta tha ik pahar hon main hila b na pao ge mujhko

Zamane ne aaj usko meti sa bana diya
Kahin sehra kahin sookhy shajar achy nhi lgty

Muje ab khwabzaaron k safar achy nhi lgty

Jawabi khat me yun usne mery bary me likha tha

Bura b keh nahi sakty mgr achy nahi lgty

Nahi masroof main itna k ghar ka rasta bholon

Koi jab muntazir na ho to ghar achy nahi lagty

Smandr tairti lashon se ye kehta raha shab bhar

Mujhy b doobny walo, bhanwar achy nahi lgty

Nahi aisa k ab parwaz ki taqat nahi baqi

Meri ummeed k panchi ko pr achy nahi lgty... ;->