mahfil na sahi tanhai

mahfil na sahi tanhai
mahfil na sahi tanhai tu milti hai
milan na sahi judai tu milti hai
kon kahta hai muhabbat mian kuch nahi milta
wafa nahi sahi bewafai tu milti hai
  

Jun, 03 2010     151 chars (1 sms)     3051 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ae RUB tu hi bata main khud ko kis chala raha ho zindgi k mutabiq.

aik shakhs mujh se mere jeene ka anaaz maang raha hai..
Kaho tum tu ooper ooper se hi mil lete hein
Dosti aur pyar ko thora aur barha lete hein
Bas karo aik wahda Bass tum nah karo gey
Pyar kia hai tu judai meri ka samna karo gey
Kamal-E-Zabt Ka MaaliK
Nazr Shanas Bhi Tha,

Bichar Raha Tha AchanK
To Ba''hawas Bhi Tha,

Labon Pe Khobsurat Tabasum Sajaye Phirta Tha,

Wo Ek Shakhs Jo Shayed Udas Bhi Tha,

Main Jis Ki Yaad Ki Parchayon Mein Gum Rehta Tha,

Wo Dastaras Mein Na Tha Or Mere Pas Bhi Tha..
***AZZIYAT***
Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga...
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga..

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi.......
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga...

Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay.......
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga...

Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say..
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga..

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay........
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga..

Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana.........
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga......

Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab....
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga..
Numayaan ho key dikhla dey kabi unko jumal apna
boht mudat sey charchey hein terey bareek beenoon mein

Tu to Aalim hai samajhta hai kitaboon ki zubaan
mera chehra bhi parh merey halaat bhi bata
Socha Tha Tujhy
Tuut k Chahain Gy
Bohat Hum ...

Chaha Bhi Bohat
Jaana''n Aur Tuutey Bhi
Bohat Hum ... !!!
Beetay rishtay talaash kerti hay..

Khushboo ghunchay talaash kerti hay..

Jab guzarti hay is gali say sabaa..

Khat k purzay talaash kerti hay..

Apnay maazi ki justujoo may bahaar..

Peelay sapnay talaash kerti hay..

Aik umeed baar baar aa ker..

Apnay tukrray talaash kerti hay..!
Chaand Ho Jesay Sitaron Say Allag
Esay Neainon Mein Haya lagti Hay

Teri Qurbat Mein Juki Si Nazar
Aik Masoom Si Dua Lagti Hay

Marhala Moat Ka Mushkil Magar
Zindgi Es Kay Siva Lagti Hay
Tere Hijra''n Sy
Ta''aluq Nibhane K Liye

HumNy is Saal Bhi
Jeenay Ki Kasam Khai Hy ...
Konsa zakhm tha jo tar-o-taza na tha,

Zindge m itne gm thay k andaaza na tha,

Un ke jheel c aankho ka is m kya kasoor,

Dobne walo ko gehrai ka andaaza na tha
hazar dur sahe muj se,mai nahe bhula...

wo aik pyar ka lahja wo ik dua tyri.
Pyar k!a tha tm sy tm ny bewafa! k! to kya huva
"Dost"
Hm pehly bewafa thy thujy b! bana d!a ab wafa jeatny k! jang kra!n gy