ajeeb shaks tha kaisa

ajeeb shaks tha kaisa
ajeeb shaks tha kaisa mizaj rakhta tha
sath rah kar bhi ikhtilaf rakhta tha

mai kiu na dad du us kay fun ki
mre hr swal ka phly hi jwab rakhta tha

wo to roshnio ka basi tha mgr
meri andher nagri ka bara hi khyal rkta tha

MOHABAT to thi ussy ksi or se shyd
hum se to u hi hansi mazak rakhta tha!!!
  

Jun, 04 2010     310 chars (2 sms)     4117 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

her raat teri yadon ko qatal kar k dafan kr k so jata hun.

per yeh log bare sangdil subha teri adain teri batain le kr aa jate hain.
shayad k main kamzor jata us aakhri mulaqat mein..

mohsin

wo to baarish ki meharbani thi jis ne chupaya aansu mere..
Waqt ki nazakat to dekho,
Tammanaon ki hasrate bhi dekho,
keh gaya jo ye DIL khamoshi se,
Sun liya TUMne bhi usse chupke se!!
ye jo TUMHARa DIL hai na,
asman se bhi unchha hai,
samandar se bhi gehra hai,
jise me mehsoos kar raha hun sadiyon se..khamoshi se..
Jis DIL mein basa tha pyar tera;
Woh dil to kabhi ka tod diya;
Badnaam na tujhe hone deinge;
Tera naam bhi lena chod diya......!!
............BHULAYA NA JAA SAKA............
Palkon pe aanso''on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso''on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-gum bhi sunaya na jaa saka
woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
Udass lamhon ka na koi malal rakhna,

Tufan mein bhi wajood Sambhal rakhna,

Kisi k liye shart-e-zindagi tum ho,

Kisi ki khatir hi apna khayal rakhna .!!
Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra
Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera
Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine
Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera
Yaad Na Karo Gi To Sataoun Ga
Rootho Gi To Manaoun Ga
Ro Gi To Hasaoun Ga
Dost Hoon Mein Tumhara Saaya Nahin
Jo Andhere Mein Saath Chor Jaoun Ga
Kabhi aansoo kabhi Khushi dekhi
humne majboori aur bekasi dekhi

Chand lamhaat jeene ke liye
bechke apni zindagi dekhi

Andhere agar ghir aaye ho
tere pehloo mai raushni dekhi

Teri naraazgi ko kya samjhein
humne khud apni bebasi dekhi
Is Waqt Tabaahi K Kareeb Hai Kashti Meri..
Lehro Zara Tez Baho, Mujhey Tootney Ka Shauk Nahi!!
Tum Ne Kia Na Yaad Kabhi Bhool Kar Humain

Hum Ne Tumhaari Yaad Main Sab Kuch Bhula Dia
Mohobbat hum b ker lain gay
Ye Ghalti tum b ker layna
Chalo tumhi se ker lain gay
kisi say tum b ker layna
tumhain hum Doost kahtay hain ,To Nadir Mashwara denge,
Mohobbat tum nay kerni hey.
! Suno Hume se ker layna ...!