Bewaf SMS Messages231 messages

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..

Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay Bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.
Sir Jhukao ge To Pathar bhi Devta ho Jaye Ga
Itna Mat Chaho Use Wo Bewafa Ho jaye Ga

Hum bhi Darya Hain humain bhi Apna hunar Maluum hai
Jis Taraf Bhi Chal Parain, Rasta Ho Jaye Ga

Kitni Sachai Se Zindagi Ne Keh Dia
Tu nahi Mera To Koi Aur Ho Jaye Ga

Rooth Jana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kia Khabar Thi Mujh se Wo Itna Khafa Ho Jaye Ga
Gunah karke saza se darte hain,
Pee ke Zeher dawa se darte hain,
dushmano ke sitam ka khauff nahi humko,
Hum to doston ki Bewafai se darte hain.
Hasino ne haseen bankar gunaah kiya,
Auro ko to kya humko bhi tabah kiya.
Pesh kiya jab shayari mein humne unki Bewafai ko,
Auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya
Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai,

tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,

wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,

hume to dekhna hai tu Bewafa kahan tak hy
Maut mangte hain to zindgi khafa ho jati hai.
Zehar lete hai to wo b dava ho jati hai.
Tu hi bata aai mere dost kya karun,
jis ko b chahte hai Bewafa ho jati ha.
Aye Na agar Tumhe Yaad Hamari,

Hum Karenge Fariyad Tumhari.

Bewafa ho tum ye Na Kahenge Kisi se,

Kahenge Ki Shayad Kami Thi Wafa Me Hamari.
mana ki koi sath nahi
tanha hu is waqt

tuti hu par bikhari nahi
na hua hausla hai pastt

sach hai ki dagar kathin hai
aasan nahi safar

na hi koi rahnuma hai
jo bane mera humsafar

achcha hi hua tune mujhe daga de diya

soye hue junoon ko phir se jaga diya

nadaN thi tere ishq main khud ko fanna kiya

ho bhala teri Bewafai ka jisne fir humeN zinda kiya

fir se wahi junoon hai

bulandion par hai hausla

tere har gunah ka mai khud karungi faisla!
Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss Bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe
Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss Bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe
Tumse rishta tod bhi nahin sakte aur jod bhi nahin sakte
tu Bewafa hai yeh soch ke tumse muh mod bhi nahin sakte
beshaq tu kisi aur ke haathon ki lakeeron mein hi sahi
yeh soch ke hum tumse milne ki aas chod bhi nahin sakte
Iss jahan mein mohabbat kaash na hoti
Toh safar-e-zindagi mein mithaas na hoti
Agar milti BewafA ko sazaaye maut
Toh deewano ki kabre yun udhas na hoti