Apny Ghar Ka
Aik hi Rasta...
Dhoop K teelay
Rait Ka Daryaa,,,
Dewaaron per
Aas Ki Bailein
Sahen K ander
Hijr Ka Poda,,,
Har Kamray Mein
Uss Ki Yaadein...
Sab Chezon mein
Uss Ka Chehra
Hum nay kisi ki yaad may rona he choor diya
Apni zindagi ko talash karna he choor diya
Sab beeti hui batain bhula dee hum nay
Ab dil may mazii bsana choor diya hum nay
Kantoon say bhar detay hain log daman
Hum nay anghan may naey phool khilana he choor diya
Kabhi na mangain gay bheek kisi k pyaar ki
Isi liye hum nay pyaar karna he choor diya..
Pyaar Say Barh Kar Nahi Duniya May Koi Roshni
Pee Gaye Ye Roshni To Aaina Ho Jaoo Gay
Guftago Methi Karo, Her Shaks Say Jhuk Kar Melo.
Dushmanoo Kay Wastay Bhi Dil Ruba Ho Jaoo Gay..!!
bus ik han k intazar main raat yunhi guzar jaey gi
ab to uljhan hai saath meray neend kaha ayey gi
subah ki kiran na janay kon sa sandais layey gi
rim jim si gungunayey gi ya phir pyas adhori reh jaey gi
CHup CHaap tamasHa daikHay ga boLa tHa zamana tHeek naHeen
KHamosH sitaroon ko takna aur aansoon bHana tHeek naHeen
Main jHooti sacHi baatoon se kHud ko beHLa Longeen Lekin
MiLna Hee naHeen to sacH boLo fursat ka bHana tHeek naHeen
Raaste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pene ko majboor kare,
Jab maut ka daman thamna chahe koi to,
Dost aisa ho jo jeene ko majboor kare.