Jo aansoo na hote

Jo aansoo na hote
Jo aansoo na hote ankhon mei,
to aankhen itni khubsurat na hotin.
Jo dard na hota dil mei, to khushi ki koi keemat na hoti.
Jo bewafai na ki hoti waqt ne,
to wafa ki kabhi chahat na hoti.
Agar sochne se puri ho jatin muraaden to, dua ki kabhi zarorat na hoti.
  

Jun, 03 2010     265 chars (2 sms)     2711 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Zinadgi Kis Terha Bitaoge
Paas Jab Apne Humain Na Paoge

Din Man Tanhaiyan Satayengi
Raat Main Chonk K Uth Jaoge

Raat Bhar Neend Kion Nahi Aati
Tum Ye Khud Samajh Na Paoge

Log Poochenge Is Tanhai Ka Sabab
Kia Chuapoge Kia Bataoge

Palkain Har Baar Bheeg Jayengi
Jab Kabhi Khul K Muskuraoge

Meri Yaadain Bohat Satayengi
Jab Bhi Baarish Main Bheeg Jaoge

Khud Ko Tanha Na Paa Sakoge
Har Jaga Mera Hii Aks Paoge

Batao
Zndagi Kis Terha Bitao Ge
Kon karta hai wafaon k taqazay tjh se,
Ham to ek jhoti tasalli k talabgar hain bas.
"Phool Chunte Waqkt Kaanto Pe Bhi Nazar Rakhna
Muhobaat Mei Mom Ka Dil Aur Patthar Ka Jigar Rakhna"
Muje manzilon se aziz hain teri rahguzar ki musafaten
K likhi hain mere naseeb men abi umar bhar ki musafaten

Isi ik pal ki talash men jise log kehte hain zindagi
Teri rah guzar men bikhar gayeen meri umar bhar ki musafaten...;>
Qurbat ki teri pyas hai Waisey to theek hoon
Ek dard Dil k paas hai Waisey to theek hoon
Dekha jo chand ko to koi yaad aa gaya
So Dil mera udas hai Waisey to theek hoon
Tu mujh ko apni Zaat se bahar nahin mila
Ye dukh bhara qyas hai Waisey to theek hoon
Gr ho na kuch umeed to ho jaoon pur sukoon
Ek be wajah si aas hai Waisey to theek hoon
raat ke daman men khushiyan hazaron hai.


humare liye din hi bhut lamba niqla.
Phool Khushboo Ke Nashe Main Bikhar Jate He
Log Pehchan Banate Banate Marjate Hein
Maanzil Un Ka Hi Mukkadar Hoti He Talab Ho Jinko
Be Talab Log To Manzil Se Ghuzar Jate Hein
Bahut khushnooma kal ki Raat guzri hai,

Kuch tanha par kuch khaas guzri hai.

Na neend aayi na Khwaab koi,

Bas aap hi ke khayalon ke saath guzri hai.
mujhe hadson ne mita mita kar khoob haseen bana diya!

mera dil dulhan ka wo hath hai jo mehdiyon se racha hua!
her raat teri yadon ko qatal kar k dafan kr k so jata hun.

per yeh log bare sangdil subha teri adain teri batain le kr aa jate hain.
Ab Neend Se Kaho Hum Se Sula''h Karlen Faraz ....
Wo Door Chala Gaya Hai Jisk Liyee Hum Jaga karte Thay
USay Ye Kon Samjhaye ??

Wo Dasht-e-Khamoshi Mein

Ungliyo''n Mein Seepiya''n Pehne

Kisi Sookhey Samandar Ki Adhoori Pyaas Ki Baatei''n

Bohat Chup Chaap Sunta Hy

Bohat Khamosh Rehta Hy

Usay Kon Ye Samjhaye ??

Khushi k Ek Aansuu Se

Samandar Bhar Bhi Jaty Hyn

Bohat Khamosh Rehny Se

Ta''aluq Marr Bhi Jaty Hyn ...