Asar SMS Messages96 messages

Chalo Ik BAsar Phir Sy Ajnabi Bann Jaen Hm Donoo
Nah Mein Tm Say Koi Umeed Rakhoon Dilnawazi Ki
Na Tm Meri Taraf Dekho Galaat ANdaaz Nazroon Sy
Na Meray Dil Ki Dharkan Larkharaey Meri Baton Sy
Na Zaher Ho Tmhari Kashmakash Ka Raaz Nazron Sy
Tmhain Bhe Koi Uljhan Rookti Hai Paish Qadmi Sy
Mujhay Bhe Loog Kehtay Hain K Ye Jalwaay Paraaey Hein
Meray Hamraah Bhe Ruswaiyan Hain Meray Maazzi Ki
Tmharay Saath Bhe Gozri Hoe Raton K Saaaey Hain
Ta”Aruf Roug Ho Jaey Tu Usko Bhoolna Behtar
Ta”Aluq Roug Ban Jaey Tu Usko Toorna Acha
Wo Afsana Jisay Anjaam Taak Lanaa Nah Hoo Mumkin
Uasay Ik Khoobsorat Mour Day K Bhooolnaa A6ha
Chalo Ik Baar Phir Se Ajnabi Bun Jaen Hm Dono.
Reporter: Hakumat ne Sawat & Malakand mutAsareen ka bohat help kya
Khana, Pani, Kapre, Camp ko sab kuch dya.




Pathan: Khak help kya! Hukumat ne NASWAR to behja he nhi.
Fajar= Noor
Zohar= dolat
Asar= sehet aur shifa
Magrib= kamyab mustaqbil
Eisha= pur sakon neend
Aao namaz qaim kr k apni zindagi khobsurat banien.
Rehtay hain sath sath main or meri tanhayi
kartay hain raz ki battayin main or meri tanhayi
Din to guzar jata hay logoun ki bheer main
karty hain bAsar rat main or meri tanhayi
Aye na yad kabi tumhain bhool kar be hum
karty hain tumhain yad main or meri tanhayi
Sansoun ka kya brosa kab chour jain sath
magar rahain gay sath sath main or meri tanhayi..
Haqiqat Jan Kar Aise Hamaqat Kon Karta Hy,
Bhala Be Faiz Logon Se Mohabat Kon Karta Hy,
Batao Jis Tijarat Men KhAsara He KhAsara Ho
Bina Sochey KhAsarey Ki Tijarat Kon Karta Hy,
Hamen He Ghalt Fehmi Thi Kisi K Wastey Warna,
Zamaney K Rewajon Se Baghawat Kon Karta Hy,
Khuda Ne Sabr Karne Ki Mujhey Taufeeq Bakhshi Hy,
Array G Bhar K Tarpao Shikayt Kon Karta Hy,
Kisi K Dil K Zakhmon Par Marhm Rakhna Zaruri Hy,
Magr Is Dor Me MOHSIN Ye Zehmat Kon Krta Hy
yeh duniya hai yahan pey yeh tamasha ho b sakta hai
abhi tu gham humara hai tumhara ho b sakta hai
Na ye samjo k tum hi akhri uski mohabbat ho
mohabbat juram hai usey dobarra b ho sakta hai
tera milna
bichar jana
bichar k pher mil jana
humesha ki judai ka ishara ho b sakta hai
Tum apny ap ko hrgiz koi ilzam mat dena ye soda hai mohabbat ka khAsara ho b sakta haiii
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha

Woh laut kar na aaya magar intezaar tha


Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe

Main phans gayi bhanwar main woh darya ke paar tha


Manzil qareeb aayi to tum door hogaye

Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha


Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan

Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha


Yeh mukhtAsar sa haal hai rukhsat ke waqt ka

Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha


Yeh baat umer bhar samjh na paayi main

Kyun Dil mera us ka talabgaar tha
Saal Ka Aakhri Din Hy

Abhi Kuch Dhuup Hy Lekin

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir Shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy

Chalo Mil beth Ker Apne
KhAsare Baant Lete Hyn

Sab Hi Rung aur Jugnuu Aur
Sitaare Baant Lete Hyn

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir Shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy

Tou Kyun Na Kuch Shaam Se Pehly

Jo Kuch Ghariya'n Muya'Asar Hyn

Unhii Mein Zindagi Ker Le'n

Kisi Ehsaas Ki Sham'ma Jala K

In Andhero'n Mein

Koi Daam Roshni Ker Le'n

Chalo Hum Dosti Ker Le'n

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir Shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy ... !!!
Kabhi Mujh Ko Saath Lekar, Kabhi Mere Saath Chal Kar
Woh Badal Gaye Achaanak Meri Zindagi Badal Kar

Huye Jis Pey Meharaban Tum Koi Khush Nasib Hoga
Meri HAsaratein To Nikalin Mere Ansuuon Mein Dhal Ke

Teri Zulf-O-Rukh Kay Qurban Dil-E-Zaar Dhuundhata Hai
Wahi Champai Ujaale Wahi Suramai Dhundalake

Koi Phool Bun Gaya Hai Koi Chaand Koi Taara
Joh Chiraag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke

Mere Dosto Khudara Mere Saath Tum Bhi Dhuundo
Woh Yahin Kahin Chhupey Hain Mere Ghum Kaa Rukh Badal Kay

Teri Bejhijhak Hansi Say Na Kisi Kaa Dil Ho Mailaa
Yeh Nagar Hai Aainon Kaa Yahaan Saans Le Sambhal Ke
Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai
Meray Charo'n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai

Mera Dard Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho'n K Azaab Say
Meray Shair Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai

Jo Hai Ta'ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee'n
Mujhay Jaan Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai

Mai Lahoo Jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo'n Warq Warq
Hai Qalam Ki Nauk Say MukhtAsar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai

Mai Peher Ki Tapti Hawao'n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar
Saray Reh-Guzar Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai
Wo pyar ka suboot dikhaya krta tha

ansu baha k hmain manaya krta tha

ye zindgi sirf tum se wabasta ha

aksar ye bat hamain bataya krta tha

us ki baton ma kuch aisa Asar tha jana

ma barish k bina hi bheeg jaya krta tha

sone ki fursat kse thi Farhan

wo hamain sari raat jagaya krta tha

bechani jb had se barh jati

wo jee bhar k gale lagaya krta tha

wo itni muhabbat KRNe wala badal kaise gaya?

Jo har bat pe mari qasm khaya krta tha!!!
Ye jo sakht raston pe bhi aasan safar lgta hai…
Ye mjh ko MAA ki duaaon ka Asar lgta hai…
Aek muddat hui meri MAA nai soyi Tabish…
Mein ne ik baar kaha tha k mjhe darr lgta hai…