Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
K zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
Guzarnay pati tu shadab ho bhi sakti thi
Yeh teragi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha k mein begana alm ho kar
Teray jamal ki ranaeon mein kho rehta
Tera gudaz badan teri neem baz ankhein
Inheen haseen fasanoon mein mehav ho rehta
Pukarteen mujhe jab talkhiyan zamanay ki
Teray labon say halawat k ghoont pee leta
Hayat cheekhati pherti barehna sir aur mein
Ghaneri zulfon k saya mein chhup k jee leta