Asar SMS Messages96 messages

Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aagosh Main K Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe ek Raat Nawaz De K Us k baad Seher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Sift Ye Ataa Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon Aur Meri Dua Main Asar Na ho

Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Choom K
Yunhi Saath Saath Chalain Sada, Kabhi Khatam Apna Safar Na ho

Mere Paas Mere Mehboob ZAra Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano''n Main basa Loon k Bicherne Ka Kabhi Darr na Ho

Kabhi Yun Milain Koi Maslihat Koi Khauf Dil Main Zara Na ho
Mujhe Apni Khabbar Na Ho Tujhe Apna Koi Pata Na ho

Tere Ikhtiyaar Main Kia Nahi, Mujhe Is Terha Nawaaz De
Yun Duaain Meri qubool Hoon k Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho
dil ke daryaa mein utar ke dekho
tum mohabbat mujh se kar ke dekho

phir tumhein meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichaR ke dekho

ishq ka saaghar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho

dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se dekho

pyaar kehte hain kise,zaraa tum
meri baahon mein bikhar ke dekho

mera gham mehsoos karna ho to
meri raahon se guzar ke dekho

kya Asar hota hai berukhii ka?
meri chaahat se mukar ke dekho

jo mohabbat ne hai dekha,tum bhii
uski aankhon meiN sanwar ke dekho
Wo na Aaye Un ki Yaad Aa ker Wafa Ker Gai

Unse Milne Ki Tamanna SukOon Tabah Ker Gai

Aahat Hui Socha Asar Dua Ker gai

Darwaza Khula To Dekha Mazaq Hum Se hawa Ker gai
Ajeeb Qarb Ka Alam Hai Meri Basti Par,
Ghata Bhi Chaai Hai Barsat Bhi Nahi Hoti,
Silay Hain Hont Koi Baat Bhi Nahi Hoti,
Ajeeb Rang Badalta Hai Asar Ka Suraj,

K Sham Khafa Hai Or Rat Bhi Nahi Hoti,

Main Tumhari Zaat Ka Hissa Bhi Ban Nahi Sakta,

Juda Tumse Meri Zaat Bhi Nahi Hoti.../
Suna hai Asar hota hai baaton me,

tum bhi bhul jaoge do char mulaqato me.

humse ruth kar jaoge kahan,

tumhari dosti ki lakir hai in hathon me.
Apnae Sard kamrae mai
mein Usad Bathhi Hoo
Neem wa darechoo sae
Naam Hawaieen Atae hai
Mare Jism Ko Choo Kar
Aag Se Lagatti hai
Teara Naam Lae Lae Kae
Mujh Ko Gudgudatti hai
Kash Mare Parr Hotae
Tare Pass Urr Aatee
Kash mein Hawa Hotti
Tujh Ko Chouu Karr
Lout Aatti
Mai Nahi Magar Kuch Bhi
Sang DiL Rivajoo Kae
Aahnii HAsaroo Mai
Umer Qaid ki Mulzim
SIRF AIK LARKKI HOO !!
SIRF AIK LARKKI HOO....!!!
Ye Asar Hai Unki Najar Ka,
Ya Mere Dil Ka Kasur Hai .
Aaj Meri Hasi Bhi ,
Mere Labo Se Dur Hai .
Wo Khadi Hai Samne, Dekta Hun Main ,
Kaun Jane Kaun Apne Hi Dil Se Majbur Hai
USKA HI ZIKR HAI AUR MAIN HUN
ISHQ BE KHABAR HAI AUR MAIN HUN

ZYADA KEHNA BHI KYA LAFZ HANSTE SE HAIN
USKA HI Asar HAI AUR MAIN HUN

FASLE NA RAHE DOORIYAN MIT CHUKIN
PYAR KA IK SHAHAR HAI AUR MAIN HUN

EK GUMNAAM PYAR EK KHAAMOSH ISHQ
HASRATON KA NAGAR HAI AUR MAIN HUN
Woh shakhs mujh ko jeet kay hara hai aur bus
Itna hi zindagi ka khAsara hai aur bus

Kesay kahoon keh us ka irada badal gaya
Such to yehi hai us nay pukara hai aur bus

Dunya ko is main dard ki shiddat kahan milay
Aankhon say toot’ta hua tara hai aur bus

Lafzon main dard e hijr ko mehsoos ker kay daikh
Kehnay ko main nay waqt guzara hai aur bus

Ab in main koi khwab sajanay nahi mujhay
Aankhon ko intazar tumhara hai aur bus

Main nay kaha keh khwab main dekhi hain barishain
Us nay kaha keh ik ishara hai aur bus.
Ik mullk ghoom k a rahey hain hum
Gaye the kiun abb pashta rahey hain hum
Muhabat kya yeh hay k koi jo door jae
pir bhool janey main koi kAsar chor jae na hum
guzarta hoa saal jesy bhi guzra
magar saal k akhri din
nehayat kathan hain
har ik simat lashon k ambaar
zakhmi janazon ki lambi qitarain
kahan tak koi dekh paey?

hawaon main barood ki baas
khod aman ki noha khwan hay
koi chara gar,Asar e hazir ka maseeha kahan hay!

mery milnay walo
naey saal ki muskurati subh .....gar hath aey
tu milna
k jaty hoay saal ki sa,aton main
yeah bujhta hoa dil
dhadakta tu hay

muskurata nahi
DECEMBER mujhy raas ata nahi___
Main Lafzon main kuch Asar nahin kerta.Iss ka matlab yeh nahin key main tujhey pyar nahin kerta.Chahta hon main tujhey aaj bhi.Mager teri soch main apna waqt bekaar nahin kerta.Tamasha na ban jaey kahin mohobat meri.Iss liey apney dard ko namoodar nahin kerta.jo kuch mila hai usi main khush hon.Main tere liey Khuda say takraar nahin kerta.Par kuch to baat hai teri aankhon main.Werna main tujhey chahney ki khata baar baar nahin kerta.