USKA HI ZIKR HAI AUR

USKA HI ZIKR HAI AUR
USKA HI ZIKR HAI AUR MAIN HUN
ISHQ BE KHABAR HAI AUR MAIN HUN

ZYADA KEHNA BHI KYA LAFZ HANSTE SE HAIN
USKA HI ASAR HAI AUR MAIN HUN

FASLE NA RAHE DOORIYAN MIT CHUKIN
PYAR KA IK SHAHAR HAI AUR MAIN HUN

EK GUMNAAM PYAR EK KHAAMOSH ISHQ
HASRATON KA NAGAR HAI AUR MAIN HUN
  

Jun, 05 2010     282 chars (2 sms)     2921 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tumhein jab kabhi millain fursatian meray dil se boojh uttar do
mein bohat dinoon se udaas hon mujhay koi sham udhar do
mujhay apnay roop ki dhoop do k chamak sakain meray khal o khad
mujhey apnay rang mein rang do meray saray zang uttar do
Pukara nahi hai us ne kaye roz se mujhe

Shayad usay b meri zarorat nahi rahi

Bas yunhi us k zikar ne afsurda kar dia

ye b nhi k us se muhabat nhi rahi
chandni rat ky seemi se haseen ancha l main
jabkh hasti ka her ik naqsh sanwer jata hai
ik nakam musafir tery milny keliy
sir jkhukaey tery koochy se guzer jata hai
Badla jo Waqt, Gehri Rafaqat Badal Gai.

Suraj Dhala To Saaye ki Soorat Badal Gai.

Ik Umr Tak main Uski Zaroorat Bana raha.

Phir yun Hua k Uski Zaroorat Badal Gai..
Yun meray khat ka jawab aaya…
Lifafay main aik gulaab aaya
idhar udhar ki baat na kar ye bta k qafla kis terha luta.

mujhe gila nahi rahguzar se mujhe gila teri rahbri ka hai.
Un ke Andaz-e-Karam un pe wo aana dil ka,
Haye wo waqat wo baten wo Zamana dil ka,
Na suna uss ne tawajoh se Fasana dil ka,
Umer Guzri par Daed na jana dil ka,
Dil Lagi dil ki Lagi ban ke Mita deti ha,
Rog Dushman ko b Ya Rabb na lagana dil ka,
Wo b apnay na huye dil b geya hathon se,
Aisay aane se to behtar ha na aana dil ka,
Un ki Mehfil mein “PREET” un ke tabusam ki Qasam,
Hum dekhtay reh gae hath se jana dil ka,
saqi ko gila hy k bikti nhi sharab,,,

ek tera naam hy k hosh mein aane nahi deta,,,
Chaand Suuraj k Naseeboon main Kahan wo Jagmug Jagmug...

Baaliyan Jitni Darakhshaan hain Tere Kaanoon ki......

Miss U Janu.....
Thi Is Qadar Ajeeb Musafat K Kuch Na Pooch

Aankhai''n Abhi Safar Main Theen Aur Khwab Thak Gaye
Suna Hai Ghair Ki Mehfil Main Tum Na Jao Ge


Kaho Tou Aaj Saja Loon Ghareeb Khane Ko
dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun