Agar SMS Messages1430 messages

guzarta hoa saal jesy bhi guzra
mAgar saal k akhri din
nehayat kathan hain
har ik simat lashon k ambaar
zakhmi janazon ki lambi qitarain
kahan tak koi dekh paey?

hawaon main barood ki baas
khod aman ki noha khwan hay
koi chara gar,asar e hazir ka maseeha kahan hay!

mery milnay walo
naey saal ki muskurati subh .....gar hath aey
tu milna
k jaty hoay saal ki sa,aton main
yeah bujhta hoa dil
dhadakta tu hay

muskurata nahi
DECEMBER mujhy raas ata nahi___
Us K Hathon Main Hina,Paon Main Payal Hogi.Aik Dewar MAgar Beach Main Hayal Hogi.Us K Jalwoon K Bohat Pass Main Honga.Lakin Wo Kisi Or Ki Taqdeer Ka Hasil Hogi.Surkh Kaproon Say Sajay Tar Na Mery Hongy.Us Ki Aankhoon Main Mery Pyar Ki Jhilmil Hogi.Jaty Jaty Wo Mujy Pyar Say Dakhy Gi Jab.Roty Roty Wo Meri RohMain Shamil Ho Gi.Mujy Say Wo Dor Bohat Dor Chali Jayee Gi.Ya Kaahani Bhi Sara-e-Bazam Mukamil Hogi.
Kaise wo laut aaye k fursat ussey nahi
Dunya samajh rahi hai mohabbat ussey nahi

Lagta hai aa chuki hai kami uss ki chah main
Kaafi dino''n se mujh se shikayat ussey nahi

Dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
Jazbo''n ki barishon ki jo aadat ussey nahi

Har cheez ikhtiar main rakhta hai wo mAgar
Dil se rihayi paney pe qudrat ussey nahi..!

Zindagi! ab tou ta''aluq ki ye hi surat hai
Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Abhi Jo Tum Laut Ker Phir Tum
Humare Dar pe Aaye Ho
Ye Tum Se Keh Dia Kis Ne
K Tum Bin Reh Nahi Sakte
Ye Dukh Hum seh Nahi Sakte
Kaha Tum Se Kis Ne k
Hum Tum Bin Bohat Roye
Kai Raato''n Ko Na Soye
Suno. . ! ! !
Tum Sun Lo Gaur Se
Agar
Beetay Huey Lamho''n Ko
Tumne Wapis Lana Hai
Humari Zindagi ain Humain
Wapis Bulana Hai
Mujhe Afsos Hai Jana''n
K Tum Mayoos Lauto Ge
Agar Tum Jan''na Chaho K Aisa
Kion Kia Hum Ne
Ye Gham Seh Lia Hum Ne
TOU SUNO GAU SE JANA''N
Puraani Ehad-e-Rafta Ki Riwayat
Tor Di Hum Ne

"MOHABBAT CHORH DI HUM NE" . . .
Kaha Main Nay Kahan Ho Tum?
Jawab Aya Jahan Ho Tum...

Mere Jeevan Say Zaahir Ho
Mere Gham Mein Nihaan Ho Tum....

Meri Tou Saari Duniya Ho
Mera Sara Jahan Ho Tum.......

Meri Sochon Ka Mehwar Ho
Mera Zor-e-Bayaan Ho Tum......

Main Hoon Lafz Muhabbat Hoon
MAgar Meri Zuban Ho Tum...
Baithe-Baithe jindgi barbad na kijiye. Jindgi milti hai kuchh kar
dikhane k liye. Roke Agar aasman hamare raste ko. To taiyar ho jao aasman
jhukane k liye.
Suno aisa nahi karna

Mai pehle hi akela hu

Muje tanha nhi karna,

Judai aa b jaye to

Ye dil chota nhi karna

Bohat musroof ho jana

Muje socha nhi karna,

Barosa b zarori hai

MAgar sub ka nhi karna

Muqadar to muqadar hai

kabi shikwa nahi karna

Meri takmeel tum se hai

muje adha ni karna

suno asa soocha nahi kerna
DECEMBER kay mahinay ka wo shaid akhri din tha
baras guzray kai
main nay "MUHABAT" lafz likha tha
kisi kagaz kay tukray per!
Achanak yaad aya hay
baras guzray kai
muj ko kisi say bat kerni thi
usay kehna tha
jaan-nay jaan! "MUJHY TUM SE MUHABAT HY"
mAgar main keh nahi paya
woh kagaz aaj tak lipta para hay dhool main lakain
kisi ko day nahi paya
dobara cha ker bhi main mohabat ker nahi paya!
December
Guzarta hua saal jaisey bhi guzraa
MAgar saal kay aakhri din nihaayat kathhin hain
Suno...!!!
Naye saal ki muskuraati hui subha
Yeh bujhhta hua dil dharakta to hai
Muskuraata nahi
December mujhey raas aata nahi..!!
Na inkaar na tha ikraar
Par hum karne lage tum se pyaar
Jaane kyun aur kab laga humein
Tum hi to ho mere dildaar




Rah pe chal rahe the hum saath saath
Tha hamare haathon mein aap ka haath
Humein kya pata tha ke zindagi mein
Yuhin saath chalne se nahi banti baat




Kitna pyaar hai hum ko aap se
Kitni zarurat hai hume aap ki
Batayen ge aap ko, karenge hum bayaan
Agar hui aap se, phir kabhi mulakat
Hum mai or tum mai
kab yeh teh huwa tha???
k phir milege zindagi k kisi mord par
kab yeh kaha tha k bin tumhare
na jee sakhainge hum
buhat tarpaye ga yeh hijar ka mosam
yeh sawan aur pat jhar ka mosam
kab yeh teh huwa tha
k sar shaam hi
tumhari yaad utar aayegi
is dil k aangan mai
Agar! yeh sab teh nahi huwa tha tu
barso bad guzar jaane k bad bhi
meri wehshoton meri yaadon meri tanhiyon mai
sirf TUM hi TUM kyun hon?
BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso“on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru mAgar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
mAgar faasla ana ka mitaya na jaa saka