Agar SMS Messages1430 messages

Kathin he rah guzar thori door saath chalo
buhat kara he safar tori door saath chalo

tamam umar kahan saath deta he
ye jaanta hoon mAgar'' thori door saath chalo

nashe main choor hoon main b tumhain b hosh nai
bara maza ho Agar thori door saath chalo

ye ek shab ki mulaqaat b ghanimat he
kise he kal ki khabar thori door saath chalo

abhi to door hain chirag rahon ke!!!
abhi he door sahar thori door saath chalo

tawaaf e manzil e janaan hamain b karna he
faraz tum bhi Agar thori door saath chalo.
na shikayatein na gila kare. . .

koi esa shaksh howa kary. .jo meray leeye hi saja klary . .

kabhi royee wo baypanah. .kabhi bay tahasha udaas ho . .

kabhi chupke chupke se dabay qadam . .meray pehcay akar hansa kary.

meri qurbatein meri chahatien. .koi faryad kary qadam qadam . .

main taveeel safar may hoon Agar. .meri wapsi ki dua kare. .
Mohbbat mukadar hai 1 khwab nhi,
ye woh ada h ki sab jisme kamyab nhi.
jinhe panah mili unglio par ginlo unhe,
mAgar jinke katal hue unka koi hisaab nahi
Tumhara Khat mila..
Wo jis main tum ne pocha hai...

K abb halaat kaise hain..
Mere din raat kaise hain...

Meharbani tumarii hai..
K tum ne is taran mujh say..

Mere Halaat poche hai..
Mere din raat poche hain...

Tumhe Sab kuch bata donga..
Mujhe Itna bata Do K...

Kabhi SAgar Kinaray Per..
Kisii Machli ko dekha hai..

K Jis Ko lehrain Pani K
Kinaray Tak To lati hainn..

Magr phir choor jati hain..

Mere Halat Ayese Hain..
Mere Din raat ayese hain..
@@@@@@Special Wording@@@@@@
kabhi kabhi AANSOO
muskurahat say ziada special hotay hain

bcoz

SMILE to sab k liye hoti hay
mAgar AANSOO sirf un k liye hotay hain
jinhein hum khona nahi chahtay.....
Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai...

Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai''

Tu Agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..

Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai...
Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai...

Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai''

Tu Agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..

Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai...
Kabhi es tarah meray ham nafs,
Sabhi chahtein meray naam kar,
Agar ho sakay tu kabhi kahein,
Meray naam bhi koi shaam kar,
Meray dil k saye main aa zara !
Meri dharknon main qayam kar,
Yeh jo meray lafzon k phool hain,
Teray raastay ki ye dhool hain,
Kabhi in say sun meri dastan,
Kabhi in k sath qalam kr.
hai dua yaad mAgar harf e dua yaad nahi
mere nagmaat ko andaz e nawa yaad nahi

hum ne jin k liye rahoun main bichaya tha lahoo
hum se kehte hain wohi eehd e wafa yaad nahi

zindagi jabar e musalsal ki tarhan kati hai
jane kis jurm ki pai hai saza yaad nahi

main ne palkoun se dar e yaar par dastak dii haii
main woh sahil hoon jisse koi sada yaaad nahi

kaise bhar aayein sar e shaam kisssi ki aankhein
kaise thari chiragoun ki zia yaad nahi

sirf dhundle sitaroun ki chamak deeekhi hai
kab howa kon howa mujh se khafa yaad nahi..

aaoo ek sajda karein alam e madhoshi main
loggg kehte hain SAgar ko khuda yaad nahi......
Aks-e-khushboo hoon, bikharnay say na rokay koi
Aur Agar bikhar jaoon to mujh ko na samaitay koi

Kaamp uth-ta hoon main yeh soch k tanhaee main
Meray chehray pe tera naam na parh lay koi

Jis tarah khuwaab meray ho gaye reza reza
Iss tarah say na kabhi toot k bikhray koi

Main to uss din say harasan hoon k jab hukam milay
Khushk phoolon ko kitabon main na rakhay koi

Ab to iss rah say wo shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis umeed pe darwazay say jhankay koi

Koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi
Dil ki galiyan bari sunsaan hain, aye koi
Kuch khone ko ji chahta hai

Aaj rone ko ji chahta hai

Jagte mein sab dekh liya yaro

Ab sone ko ji chahta hai

Teri aankh mein apna aks dekh ker

Kajal honey ko ji chahta hai

Chandni dekh ker humein bhi

Chand hone ko ji chahta hai

Subah se bohat hass liya ke

Aankh bhigone ko ji chahta hai

Wo bohat pyara hai mAgar ab

Juda hone ko ji chahta hai

Tere Dagh-e-Dil dekh ker Jaana!! Apne

Dagh dhone ko ji chahta hai
In kitabo me titliyan rakh ja
kuch to aapni nishaniya rakh ja,

Log thak har ke na laut aaye,
raste me kahaniya rakh ja.

Muntazir Koyee to mille tujhko
Ghar ke bahar udasiyan rakh ja.

Aaj toofan bhi akela hai
tu bhi sahil pe kashtiya rakh ja.

Ho raha hai Agar juda mujhse
meri ankho pe ungliya rakh ja.