Aama SMS Messages72 messages

Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.Aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-NidAamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.
ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain

kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain

hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain

sar salAamat hai to kya sang-e-malAamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain

munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
kuu-ba-kuu phail gaii baat shanaasaaii kii
us ne Khushbuu kii tarah merii paziiraaii kii

kaise keh doun k mujhe chhor diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaaii kii

vo kahiin bhii gayaa lautaa to mere paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mere harajaaii kii

teraa pahaluu tere dil kii tarah aabaad rahe
tujh pe guzare na qayAamat shab-e-tanhaaii kii

us ne jalatii huii peshaanii pe jo haath rakhaa
ruuh tak aa gaii taasiir masiihaaii kii
~~DAaman~~
youn na mujhko dekh tera dil pighal na jaaye
mere aansooyon se tera dAaman jal na jaaye
woh mujhse phir mila hai aaj khwaabon mein
ae khudaya kahin meri neend khul na jaaye
poocha na kar sab ke saamne meri kahani
kabhi tera naam hothon se nikal na jaaye
jee bhar ke dekh lo "KaMaL" ko tum sanam
kya pata phir zindagi ki shaam dhal na jaaye
Aur kya kahooN kya hey uska mujh sey parda karna
wo jaanti hey mujh pey kayAamatoN ko barpa karna

uski soorat rahey aaNkhoN meiN aur dekhooN meiN
us ki kurbat meiN ajeeb tarz sy dil ka dharrka karna

hy munkashif mujh pey usey khaab meiN dekhoN to
mery khayaaloN ka phooloN ki tarhaN mehka karna

kaasa-e-ishq meiN deedaar ki bheek sy guraez us ko
jaany lagta hooN to ada-e-khaas sey mujhy roka karna

sunooN jo us ki to zaahir ho, magar ba-nakaab-e-rukh
us pey bohat jach’ta hey ye maasoom sa dhoka karna

accha lagta hy jo mehfil meiN usey ik tak dekhoN to
sharbati aaNkhoN ka ishaaroN sey mujhy toka karna
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

Koi aansoo tery dAaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !

Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon
apnay haathoon se yun chehare ko chupaate kion ho
mujh se sharmaate ho to sAamane aate kion ho

tum kabhii merii tarah kar bhii lo iqaraar-e-vafaa

piyar karate ho to phir piyar chupaate kion ho

ashk aunkhoon main merii dekh ke rote kion ho

dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kion ho

in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum

mere shaanoon se ye zulf hataate kion ho

roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kion ho

milane aate ho to phir laut ke jaate kion ho
Maira Dil Bhi Shoq Say Toro Ek Tajurba Aur Sahi
Laakh Khilone Torr Chuke Ho Ek Khilona Aur Sahi


Raat Hai Gham Ki Aaj Bujha Do Jalta Hua Har Ek Chiraag
Dil Mein Andhera Ho Hi Chuka Hai Ghar Mein Andhera Aur Sahi


Dam Hai Nikalta Aashiq Ka, Bheer Main Aa Kar Daikh To Lo
Laakh Tamaashe Daikhe Honge Ek Nazaara Aur Sahi


Khanjar Le Kar Sochte Kya Ho Qatl-e-Murad Bhi Kar Daalo
Daag Hain So DAaman Pe Tumhaare Ek Izaafa Aur Sahi
sAaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai.
har dar pe jhuke sar ye merii shaan nahii.n hai
har lafz ko siine me.n basaa lo to bane baat
taako.n me.n sajaane ko ye quraan nahii.n hai
Khud say ruthoon to kayee roz na khud say boloon
Phir kisi dard ki deewar say lag kar ro loon

Tu samander hai to phir apni sakhawat bhi dikha
Kya zaroori hai k main pyaas ka dAaman kholoon

Main k ek sabr ka sehraa nazar ata hoon tujhay
Tu jo chahay to teray wastay darya ro loon

Aur meyaar rafaqat k hain aisa bhi nahin
Jo mohabbat say milay saath isi k ho loon

Khud ko umron say muqfal kiye betha hoon faraz
Who kabhi aye to khalwat-kada e jaan kholoon
Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya
Apni Zindagi Ko Talaash Karna Hi Chor Diya

Sab Beeti Hui Baatein Bhula Di Hum Ne
Ab Dil Main Maazi Basana Chor Diya

Kaanton Se Bhar Dete Hain Log DAaman
Hum Ne Aangan Main Phool Khilana Hi Chor Diya

Kabhi Na Maangen Ga Kisi Se Bheek Mohabbat Ki
Is Hi Liye Hum Ne Pyaar Karna Hi Chor Diya
Ikr-E-Shab-E-Firaaq Se Vahshat Usay Bhi Thi
Meri Tarah Kisi Se Muhabbat Usay Bhi Thi
Mujh Ko Bhi Shauq Thaa Naye Chehroon Ki Deed Kaa
Rastaa Badal Ke Chalnay Ki Aadat Usay Bhi Thi
Mujh Se Bichhar Ke Shahar Mein Ghul Mil Gayaa Vo Shakhs
Haalaanke Shahar Bhar Se Raqabat Usay Bhi Thi
Vo Mujh Se Barh Ke Zabt Kaa Aadi Thaa Ji Gayaa
Varnaa Har Ek Saans QayAamat Usay Bhi Thi