Aama SMS Messages72 messages

Mehraab par Ali(AS) hein to mimbar pe bhi Ali(AS)
Ka''aba gawaah dosh-e-Payambar(SAWW) pe bhi Ali(AS)

Khandaq, Uhad, Hunain to Khaibar mein bhi Ali(AS)
Hijrat ki shab Rasool(SAWW) k bistar pe bhi Ali(AS)

Har jaa Ali(AS) mileingay na dAaman bachaiye
Bachna Ali(AS) se hai to jahannum mein jaaiye
Aamad e Qasim hoi hay mujtaba ki gaud me
Khud hassan aye thay jaisey murtaza ki gaud me
Bha gai qasim ki surat jab zameen k chand ko
ye kaha yun saatwin me chaudwin ka chand ny
hay pisar qasim hassan ka fatima ki gaud me
Aisa lag raha k chaand agay hy chaand ki gaud me
mustafee ho gaya yaro mush,
na kar paya kuch b bush,

jan chootey hai aik Aamar sey,
kyun na hon Pakistani khush
mustafee ho gaya yaro mush,
na kar paya kuch b bush,

jan chootey hai aik Aamar sey,
kyun na hon Pakistani khush
Musafir to bichadte hain , rafaqat kab badalti hai
Mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai

Tumhi ko chahte hain hum ,tumhi se pyar karte hain
Yehi barson ki aadat hai aur aadat kab badalti hai

Tumhe jo yaad rakha hai yehi apni ibadat hai
Jo paththar par likhi jaaye ,ibarat kab badalti hai

Kali ka phool banna aur bhikhar jaana
Yehi qaanoon -e- fitrat hai to fitrat kab badalti hai

Jo dil pe naqsh kar jaaye aur aankhon mein simat aaye
AlAamat hai yeh chaahat ki to chaahat kab badalti hai

Use chaaha use pooja yehi tauqeer hai apni
Hamein gumrah mat samjho ibaadat kab badalti hai

Purane zakhm ko ab Bhula dein yahi achcha hai
Na chaahe aap hi koi to qismat kab badalti hai
Sir Jhukao ge To Pathar bhi Devta ho Jaye Ga
Itna Mat Chaho Use Wo Bewafa Ho jaye Ga

Hum bhi Darya Hain humain bhi Apna hunar Maluum hai
Jis Taraf Bhi Chal Parain, Rasta Ho Jaye Ga

Kitni Sachai Se Zindagi Ne Keh Dia
Tu nahi Mera To Koi Aur Ho Jaye Ga

Rooth Jana To Mohabbat Ki AlAamat Hai Magar
Kia Khabar Thi Mujh se Wo Itna Khafa Ho Jaye Ga
terii khushii se agar Gam meN bhii khushii na huii
voh zindagii to muhabbat kii zindagii na huii

koii baDhe na baDhe ham to jaan dete haiN
phair asii chashm-e-tavajjoh kabhii huii na huii

tamaam harf-o-hikaayat tamaam diida-o-dil
is ehtemaam pe bhii sharaH-e-aashiqii na huii

sabaa yah un se hamaaraa payaam kah denaa
gaye ho jab se yahaaN subah-o-shaam hii na huii

idhar se bhii hai sivaa kuchh udhar kii majbuurii
ki hamne aah to kii unse aah bhii na huii

khayaal-e-yaar salAamat tujhe khudaa rakhe
tere baGair kabhii ghar meN roshnii na huii

gaye the ham bhii Jigar jalva-gaah-e-jaanaN meN
voh puuchhte hii rahe hamse baat hii na huii
...DOOR...
Tum Door Sahi Muj Se
Sapnoo Ma Tu A Jao
Bechain Mere Dil Ko
Pal Bar Behla Jao,
Koi Lamha Nahi Kut Ta
Tujay Sochay Bina Jana
Yadon se Nikal Kar Kabhi
Mere SAamanay A Jao,
Bus Itni Se Khawahish Hai
Nadaan Mere Dil Ki
Phir A Key Chalay Jana
Ek Baar Tu A Jao,
Bachaini Si Dharkan Ma
Na Aankhon Ma Neenden Hein
Be Kaif Tabbiyat Ki
Koi Waja Bata Jao.
Jo khud pe jheel chukey hon karb totey hue dil ka
Wo kisi ka dil dhukhaney par Aamada nahi hotey…/
Hadse banke log yahaan mila karte hai
zakhm dene ke hi sAaman diya karte hai
roz gir jaati hai deewar tere wadon ki
roz hi hum maut ke saaye mien jiya karte hai..
apane haathon se yun chehare ko chhupaate kyon ho
mujh se sharmaate ho to sAamane aate kyon ho
tum kabhii meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-vafaa
pyaar karate ho to phir pyaar chhupaate kyon ho
ashk aankhon me merii dekh ke rote kyon ho
dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho
in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum
mere shaanon se ye zulf haTaate kyon ho
roz mar mar ke mujhe jiine ko kahate kyon ho
milane aate ho to phir lauT ke jaate kyon ho
khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main*
manzil ganwa di ham ne musaafat k shauq main
nafrat hi pehr e daar mili har makaam par
jis darr pe ham gaey hain mohaabat k shauq main
ham baargah e ishq main maqbool youn hue
khud se bichar gaey teri qurbat k shauq main
lautay hain ab tou saath hai ranj o alam ki bheer
niklay thay ghar se ik musarrat k shauq main
apnay chaman se raabta bilkul nahi raha
sehra norad ho gaey daulat k shauq main

dAaman main hasraton k siwa kuch nahi
aisay lutay hain ham teri chahat k shauq main