Aama SMS Messages72 messages

Ahl-e-dil aur bhee hain ahl-e-vafa aur bhee hain
aik hum hee naheen duniya say khafa aur bhee hain

kiya hua gar miray yaaron kee zubaanain chup hain
mairay shaahid miray yaaron kay siwa aur bhee hain

hum pay hee khatm naheen maslak-e-shoreeda-saree
chaak-e-dil aur bhee hay chaak-e-qaba aur bhee hain

sar salAamat hay to kiya sang-e-malAamat kee kamee
jaan baaqee hay to paikaan-e-qaza aur bhee hain

munsif-e-shehar kee vehdat pay na harf aajaye
log kehtay hain kay arbaab-e-jafa aur bhee hain ........;->
Aaj Barsoon K Bad Dekhaa Hai
Ab Bhi Aankhon Ka Rang Gehra Hai
Aur Chehre Ki Sanwali Si Lakeer
Dil Main Kitne Diye Jalaati Hai
Teri QAamat K Saye Ki Khushboo
Guftugoo Main Bahaar Kaa Mosum
Be Sabab Aitbar Ka Mousum
Kion Mujhe Sare Dhang Yad Rahe
Kitni Heraan Ho Gai Khud Per
Main Tujhe Aaaj Tuk Nahin Bhooli
Pichle Mosum Ki Yaad Baqi Hai
Kar baitha hai dil yaa muhabbat tumse,utni jitni kabhee kisi say nahi ki Jo mujhe tumhara dil kal ko todna pada to, mujhe bewafa na samjhna Baandh ke rakha hai mujhe aaj is duniya aur unke sanskaaron ne tumhare saath baandha dAaman khol dun, tu mujhe bewafaa na samjhna In nazron main muhabbat tumhara liya hai, ur hamasha tumhare liya hi rahegi Par ager kal ko tum say nazrein na mila paun, tu mujhe bewafaa na samjhna Dil hi dil main karti ayi hon aik arse say main ibadat sirf tumhari Kal ko kise aur ka hath thamna pade, tu mujhe bewafaa n
Khafa hona mana lena

Ye sadiyon ki riwaayat hai

Muhabbat ki alAamat hai

Gilay shikwey karo mujh se

Tumhein iss ki ijazat hai

Magar ik baat meri yaad rakhna

Hawaein rukh badlti hain

Khizayein lout aati hain

Khatayein ho hi jati hai

Khafa hona bhi mumkin hai

Khata hona bhi mumkin hai

Magar yoon haath se dAaman churaya nahi karte

Taluk root janey se kabhi toota nahi kartey.
Tere Zulfoon mein saja kar WAFA ki kaliyan



Apnay dAaman mein liye phirta hoon main ilzaam k phool
UMEED kay MOOTI Arza’an hain, DARVAISH ki JHOOLI khali hay
PHOOLO’ON kay Mehktay DAama’an mein, DARVAISH KI JHOOLI KHALI HAY…!!!
Kisi Ko APne Aamaal Ka Hisab Kia Dete
Sawal sare Ghalat Thay jawab Kia Dete
Jo Ek Lafz Ki Khusbu ko Na Rakh Saka Mehfoz
Uske Haath Mein Sari Kitab Kia Dete
Ab teri Yaad se Wehshat nhi hoti mujh ko,

Zakhm khulte hain AziYat nhi hoti mujh ko,

Ab kisi shakhs ki Aadat nhi hoti mujh ko,

Ab koi AaYe, chla jaYe main khush rehta hon,

AesY Badla hon TerY Shehr ka Paani pi kr,

jhoot Bolon to nadAamat nhi hoti mujh ko.
Kia MIla Usey Khoon-E-Tamana Ker K
Rakh Dia Hai Uss Ne Mujhe Shehar Mein Ruswa Ker K
Wo Samjh Sakta Nahi Ishq-O-Janoon Ki Batain
Mein Bata Sakta Nahi Un Ka Khulasa Ker K
Ain Mumkin Hai K Wo Iss Baat Pe Aamada Ho
Dekh Lete Hain Mohabbat Ka Taqaza Ker K
Ain Mumkin Hai Wo Nikal Aye Gahr Se Bahir
Dekh Lete Hain Naya Koi Tamasha Ker K
Wo Jo Aya To Aye Ga Lamha Bhar Ko
Lot jaye GA Koi Aur Bahana Ker K
Sunane ko bheer hai sar-e-mahashar lagii hui,
Tohamat Tumhaare ishq ki ham par lagi hui,
Rindon k dam se Aatish-e-mai k bagair bhi
Hai Maikade main Aag Baraabar lagi hui,
Jiite the yun to Pehale bhi ham jaan pe khel kr,
Baazi hai ab ye Jaan se Barh kr Lagii hui,
Laao to Qatl_NAamaa mera, main bhi dekh lun,
Kis Kis ki muhar hai Sar-e-mahazar lagi hui,
AaKhir ko aaj Apane lahuu par hui tamaam,
Bazi Miyaan-e-Qaatil-o-Khanjar lagi hui
Rog Aise B Gham-E-Yaar Se Lag Jate Hain
:
Dar Se Uthte Hain To Dewaar Se Lag Jate Hain
:
Be-Basi B Kbhi Qurbat Ka Sabab Banti Ha
:
Ro Na Paaen To Galay Yaar K Lag Jate Hain
:
Daagh DAaman K Hon, Dil K Hon Ya Chehre K ''Fårååz''
:
Kuch Nishaan Umar Ki Raftaar Se Lag Jate Hain..!
Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko

Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko

Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidAamat naheen hoti mujh ko

Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko