Ab teri yaad say wehshat naheen

Ab teri yaad say wehshat naheen
Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko

Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko

Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko

Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko
  

Jun, 01 2010     467 chars (3 sms)     3270 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

chiraagoon say agar andherey door hoty to chand ki chahat kise hoti,,,,,

akeley zindagi agar cut jaati to pyaar sirf naam ki cheez hoti.............
Kiya kabhi TU nay
yeh bi socha hai
kay…!!!
RAAT kay Aakhari peher main
koi...!!!
NUM Aankhon say
LARAZTAY Honto’on say
Apney Haath Phailaaye
TUJH ko "KHUDA" say maang raha ho ga...!!!
Apni tanhai mere naam se abaar kare,

Kon hai jo mujhe is trha se yaad kare,

jis k Ansoun se meri rooh kanp uthe,

Hai koi aisa jo Mujhe pane ki yu faryad kare.>
Kitne paas hai kitne door hai hum,
Khuda hi jaanta hai kitne majboor hai hum,
Saza ye hai ke mil nahi sakte,
Gunaah ye hai ke be-kasoor hai hum.
ishq mai ghairat-e-jzbaat ne rone na diya
wrna kya baat thi ks baat ne rone na diya

ap kehte the k rone se na badlain ge nasiib
umr bhar apki is baat ne rone na diya

rone walo se keh do unka b rona ro lain
jnko majburi-e- halaat ne rone na diya

tjse mil kr hamain rona tha,bohat rona tha
tangi-e-waqt-e-mulaqat ne rone na diya

ek do roz kaa sadmaa ho to ro lain
hmko hr roz k sadmaat ne rone na diya
hum cheen lenge tumse ye shaan-e-beniyazi.

tum mangte phiroge apna guroor humse.
Nnikal aate hai aansoo rone se pehle…
Toot jate hain sare khuwab sone se pehle…

Kehte hai k pyar ek saza hai,
Kash koi rokta mujhe pyar hone se pehlay
dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun
kisi ko aankho mein basaa ke dekhaa thha
kisi ko dil mein bitthhaa ke dekhaa thha
ab tak thame nahin hai mere aansoo
bas ek baar muskurake dekhaa thha.
Peheli nazar main hi koi hamare dil main aake baitha hai,
Usse harpal dhund rahe hai, aur woh to pardes jaake baithi hai,
Socha, aaj chand ko dekhakar unhe yaad kar le,
Par woh bhi kambakht kahi badalo main chhup ke baitha hai.......
Wo Jazbon Ki Tijarat Thi Yeh Dil Kuch AUr Samjha Tha
Usey Hasney Ki Aadat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Mujhe Uss Ne Kaha Chalo Nayi Duniya Basaty Hain
Usey Soji SHararat Thi Yeh Dil Kuch AUr Samjha Tha
Hamesha Uski Aankho Mein Dhank Se Rang Hoty Thy
Yeh Us Ki Aam Haalat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Mein Uske Pass Baithi Dair Tak Ghazlain Uski Sunti Thi
Usey Khud Se Mohabbat Thi
“Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha“
Mujh se vaaqif to mere jism ka saayaa bhi na tha
Kaisay ho jata tumhara main khud apna bhi na tha

Jitna mayuus hai woh shakhs bikhar ker mujh se
Itni shiddat se to main ne usay chaaha bhi na tha

Jaisay ilzaam lagaye hain mere sar us ne
Aisi nazaron se to main ne usay dekha bhi na tha

Meri aawaaz ka gham sheher ne jana kyunkar
Main to us bheer mein khaamosh tha bola bhi na tha..........;->