Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.Aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.
Raat ki gheri khamoshi main
chupkay se dheemay se
sergoshi main
koi mujh se bola
suno!
tum wohi ho na jo raat hotay he
meri Ankhon mai utar aati ho
meri aankhon mai jugnoon ki tarha
roshan ho jati hai
ek roshan taray ki tarha
neendo main utar aati ho
tum wohi ho na?
Main boli
haan main wohi hon
Woh bola…bohut buri ho
meri neenden ura ker
khud chain se so jati ho…
Teri qurbat mili tera sahara na mila,
karib pahuch kar sahil ka kinara na mila,
dekhte rahe hum apni hatheli,
magar mujhe apni kismat ka sitara na mila.
Main teri chahton ka ahtram karta hon, main teri azmaton ko salam karta hon, Mil jain tujhy jahan ki sab khushian, or gham sary mein apne naam karta hon, Din to kat he jata hai mera dunya k kamon mein, Raat ko teri tasveron se kalam karta hon, Mangta hon mein khuda se teri mohabat, mein to bas in he duaon ka ahtamam karta hon, tum se shuru hua meri mohabat ka safar, tum per he apni mohabat ka ikhtetam karta hon.
Apni Tanhai ki Palkon ko bhigholon pehle
Phir Ghazal tuj pe likhon Roo lon pehle
Hawaab k Sath kaheen kho na ghaien hon Aankhen
Jab uthon Soo k tu Chehre ko Totoloon pehle
Mere Hawabon ko hai Mosum pe Bharoosa kithna
Baad mein Phool Khilein Haar paroloon pehle
Dekhna Hai k Wo muj se Hawfa Rehta hai Kab tak
Mein ne Socha hai k Iss Baar na Boolon pehle....