Mujh Ko Pagal Bana

Mujh Ko Pagal Bana
Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo

Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo

Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo

Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo

Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo
  

Jun, 03 2010     335 chars (3 sms)     3185 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tabeebon se kya main pochon ilaaj dard-e-dil ka.

marz jab zindgi khud ho tou dawa kesi....
Ajeeb thi wo ajab tarah se chahta tha mein,
wo baat krti the aur khawab dekhta tha mein

charha howa tha wo nasha k kam na hota tha,
hazar bar ubharta tha dobta tha mein

phir is tarah kabhe soya na is tarah jaga,
k rooh neend mein the, aur jagta tha mein . . .
Koi Chaand Sitara Hy

Koi Phool Se Pyara Hy

Koi Khushi Ka Ishara Hy

Koi Dil Ka Sahara Hy

Tumhai''n Itna Batana Hy

Wo Naam Tumhara Hy ...
Raat Ki Rani Hy, Ya
Teri Yaado''n Ki
Khushbuu

Kuch Tou Hy, Jo
Aangan Mere Ehsaas
Ka Mehka Deta Hy !!!
Ab Hogaya Jo Hona Tha,

Bas Itna Hi Mujhko Rona Tha,

Jis Dil Me Rahe Ho Tum Saalo Se,

Wo Tumhare Liye To Ek Khilona Tha.
Salam_e_mohabbat
Bara khubsurat
Bara dilruba hay
Jabhi to meri jaan
Machalta huwa dil
Tumain kah raha hay salam
Salam_e_mohabbat

Yeh kiya berukhi hay
aji kuch to bolo
Kaheen yeh khamoshi
Sada ban na jaye
Meri jaan tumari
Yehi beniyazi bilakhir
Peamein wafa ban na jaye
Is inkaar main bhi
Tumari raza hay
Mil K Bicharna Dastoor Hay Zindagi ka,
Ik Yahi Kissa Mashoor Hai Zindagi Ka,
Beetay Howay Pal Kbhi Lout k Nahi Atay,
Yahi Sab Se Bara Qasoor Hai Zindagi Ka.
Tere na hony se !!
Shayed.....
Zindgi to kut jaye gi
Haaan.....
Tukron main but jaye gi !!
Us shakhs k chehry main tabani bhi khoob thi

Us shakhs ki baton main rav''vani bhi khoob thi

Us shakhs se jura mera qissa kamal tha

Us shakhs se mansoob meri kahani bhi khoob thi
wo mujhe yaad kr k sota hy.....

aus ko lgta hy khud se dr kitna...!
Tum nay apnay pehlay khat main
apna pehla khawab lihka tha
khwahish ki pehli barish main
khud ko khilta phool lihka tha
lakin tum nay pehlay khat main
anjanay say khauf main a ker
yai kyon lihka?
khawab adhoray reh jatay hain
khawahish pori kab hoti hay
sari khusboo ur jati hay
phool akhir murjha jatay hain
Qurbat ki teri pyas hai Waisey to theek hoon
Ek dard Dil k paas hai Waisey to theek hoon
Dekha jo chand ko to koi yaad aa gaya
So Dil mera udas hai Waisey to theek hoon
Tu mujh ko apni Zaat se bahar nahin mila
Ye dukh bhara qyas hai Waisey to theek hoon
Gr ho na kuch umeed to ho jaoon pur sukoon
Ek be wajah si aas hai Waisey to theek hoon