Aadmi esa dekha nahi hai,

Aadmi esa dekha nahi hai,
Aadmi esa dekha nahi hai,
Jiske chehre pe chehra nahi hai.

Kuchh kami mere chehre me hogi,
Aina koi jhoota nahi hai.

Kesi pathra gaee hain nigahen,
Tumko jis din se dekha nahin hai.

Kitne be khof hain ye parinde,
Inko mazhab ka khatra nahi hai.

Mil ke bichhde ho jis din se mujhse,
Mere ghar main ujala nahi hai.

Mot ka to bharosa hai lekin,
Zindgi ka bharosa nahi hai.

yun na khelo mere dil se `kausar''
Mera dil to khilona nahi hai.
  

Jun, 01 2010     459 chars (3 sms)     2496 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Milan Ki Arzu Karna , Safer Ki Jusjtu Karna ..

Jo Tum Mayous Ho Jao To Mujse Guftagu Karna

Ye Akser Ho b Jata Ha , K koi Kho B Jata Ha ..

Muqadar Thakao Gey , To Phir ye So B Jata Hai ..

Par Tum Hosla Rakhna , Wafa Ka Silsala Rakhna

Jo Tum Se Pyar Ker Bethay , To Us Se Rabta Rakhna .. Us Se Pyar Karna
taskeen dil k waste wada to kejaye..

humain tu maloom hai aap se aya na jaye ga..
agar pata hota kh tum aao ge yadon main.

tu hum sanwrte or sajte zaror...
Tanhai kisi ka intezar nahi karti,
Kismat kabhi bewafai nahi karti,
Unse dur hone ka asar hai warna,
Parchai kabhi jism par waar nahi karti.
Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aj bhi us ke paas hai
jis pe phool mahkain ge,ub teri muhabat k.

dil ki wo zamain ho tum,barishon k mosam main.
hamain khud apnay tajasus se hain gilay kia kia



woh baat us main nai thi jo us ke naam main thee
Tumhari Yaadon Ki Barf Baari Ka Mosam..

Sulagta Raha Dil K Anndar Akaily..


Socha Tha jee Laingay Tujh Se
Bichhar k..

Guzrta Nahi Bus Ek December Akaily ;->
Yeh Sach Hai K Mera Qatil B Wohi Tha ,

Sare Shehar Me Tarif K Qabil B Wohi Tha

Kehta Tha k Apna Hon , Apnon Me Rahhon Ga ,

Bni Jo Saf-e-Ghair To Sabse Aage Bhi WOhi Tha
Jigar ki aag say iss dill ku jalta daikhtay jao
Luti jati hay armanon ki dunya daikhtay jao

Issi din k liey bolo tumhain kya ham nay chaha tha
Keh gam barbad hun aur tum tamasha daikhtay jao
Gunah karke saza se darte hain,
Pee ke Zeher dawa se darte hain,
dushmano ke sitam ka khauff nahi humko,
Hum to doston ki bewafai se darte hain.
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata