Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.
kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.
kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.
meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.
rawan tha piyar NuS NuS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.
ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.
mai ne jo poocha kismat ka haal.
aankhon se ansson ki do bondain gira dain.
mai ne jo pucha baraish ki wajha.
maathe se paseene ki chand bondain gira dain.
mai ne jo puch husan ka raaz.
jub hi chahre pe do zulfain gira dain.
main jo pucha kayamat ka haal.
palkain utha kar palkain gira dain.