tanha SMS Messages480 messages

Tere bare mein jab socha nahin tha

main tanha tha magar itna nahin tha

Teri tasveer se karta tha batein

mere kamre mein aaina nahin tha

Samundron ne mujhe pyasa hi rakha

main jab sehra mein tha pyasa nahin tha

Manane roothne ke khel mein

bichar jayenge yeh socha nahin tha

Suna hai band kar li usne aankhen

kayi raaton se woh soya nahin tha
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi
kuu-ba-kuu phail gaii baat shanaasaaii kii
us ne Khushbuu kii tarah merii paziiraaii kii

kaise keh doun k mujhe chhor diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaaii kii

vo kahiin bhii gayaa lautaa to mere paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mere harajaaii kii

teraa pahaluu tere dil kii tarah aabaad rahe
tujh pe guzare na qayaamat shab-e-tanhaaii kii

us ne jalatii huii peshaanii pe jo haath rakhaa
ruuh tak aa gaii taasiir masiihaaii kii
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain

Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Ha
Jab bhi tanhai ne unko sataya hoga
Tab tab unko mera khayal aaya hoga
Gam ye nahi ke who bhul gaye humko
Gum ye hai ke ro ro kar bhulaya hoga
Hasntey Huway Chehrey Hain Yahan Sub K,
Derd Yun Chupanay Walay tanha Tum He Nahi
Bewafai Ki Ye Inteha Ho Gai
Ke Tujhse Juda Hokar Bhi Jeeney Ki Aadat Ho Gai
Tum Laut Ke Aao Gey Hum Say Milney
Roz Dil Ko Behlaney Ki Aadat Ho Gai

Terey Waadey Pe Kya Bharosa Kia Hum Nay
Ke Shab Bhar Tera Intezaar Karney Ki Aadat Ho Gai
Khushi Mein Bhi Hum Kya Muskuratey Ke
Teri Judaai Mein Roney Ki Aadat Ho Gai

Kaaflay Nikal Gaye Humein Chhor Ke
Ke Ab Tu tanha Safar Ki Aadat Ho Gai
Har Morh Par Mili Ghum Ki Parchaiyaan
Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Ho Gai

Jaantey They Ke Nahi Ho Sakti Kabhi Tum Hamari
Phir Bhi Khuda Se Tujhey Maangney Ki Aadat Ho Gai
Paiman-e-Wafaa Kya Hai Humey Kya Maloom "Sameer"
Ke Bewafaaon Se Dil Laganey Ki Aadat Ho Gai...............
wafa ke wadey wo sarey bhoola gaya chup chaap
wo mere dil ki dewaarein hila gaya chup chaap

gham_e_hayat ke taptey houey biyabaan mein
humein chor ke wo tanha chala gaya chup chaap

na janey kon sa wo badnaseeb lamha tha
jo gham ki agg mein mujh ko jala gaya chup chaap

mein jiss ko choota hoon wo zakham deta hai
wo phool aesey chaman mein khila gaya chup chaap!!
khud ghar jala ke khud hi tamashaiyoon mein hoon
jub se suna hai mein tere shedaiyun mein hoon

har ik nafas ke saath mita jiss ke wastey
uska bayan hai ke mein harjaiyun mein hoon

ae dost tu ne mujh ko kyun gira diya
socha nhin ke mein teri tanhaiyun mein hoon

har simat dhood dhoond mujhe dhoondney waley
mein hi toh teri tooti houi angraiyun mein hoon

iiss dil ke zakham kabi sil na payeingey
behtey lahoo ke josh ki garmiyun mein hoon

mujh se juda ho reh na payega tu ik din
mein sansoon ki bajti houi shehnaiyun mein hoon!!
Chalo ye raat ham ik dosre ke naam karte hain,
Chalo ik dosre ke aj ham dukh dard sunte hain,
Bhatakte ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men,
kaho jo dil men aata hay hamtan gosh sunte hain,
Buhat ghamgen rehte ho hazaron dard sehte ho,
tumhari dharkanon men ik ajab sa shor sunte hain,
Chalo acha yon karte hain,
Suno tum ham sunate hain,
Ham apne dil ke har ik zakhm se parda uthate hain,
Dikhate hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain,
Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain,
Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain,
Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak,
Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay,
Buhat mushkil si hoti jarahi hay zindagi MEHTAB,
Tarapte hain sulagte hain magar khamosh rehte hain,
Uss bhegi bheegi sham mein
Jab wo merey sath tha
Khamooshi thi....,
Verani thi.....,
Pass ho ker bhi mein
tanha thi.....,.
Sarey wadey bikher gye
Uss ki majborion k angan mein
Palatey guzertey qadam uss k
Dil ki khahishon ko thukra gye
Judayi ka ye bey-sada manzer
Mugh ko pal pal terpaney laga
Phir sab lamhey kho gye
Buss aik lamha baqi hey
Hijer ki ratoon mein tanhayi ka
Or uss ki khamoosh judayi ka............