suna SMS Messages357 messages

Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani sunata Hai
BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso“on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga.
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga.
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga.
Jahan Us Nay Mera Ziker suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga.
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga.
kya khabar thi wo humien daagh_e_judai deingey
hum zamaney mein shab_e_gham ki duhai deingey

pehley tum apni wafaoon ko koi rang toh doh
khud naye rastey ankhoon ko dikhai deingey

apne andar ke gali kuchoon se guzro aik din
tere kanoon ke shor sunai deingey

hum badal deingey baharoon ke puraney andaaz
perhan ab ke har aik gull ko hinai deingey

apney mazi ko na dekhiengey palat kar
gham ki zanjeer se iss dil ko rehai deingey!!
suna hoga bohat tum nay
kahin aankhon ki rim jhim ka
kahin palkon ki shabnam ka
parha hoga bohat tum nay
kahin lahjay ki baarish ka
kahin sagar k ansu ka
magar tum nay kabhi ham dam
kahin dekhay? kahin parhay?
kisi TAHREER k ansu?
mujhay teri JUDAAI nay
yah mairaaj bakhshee hai
k main jo lafz likhta hun
wo saray lafz routay hain
k main jo hurf bunta hun
wo saaray batain kartay hain
meray sang is judaai mein
MERAY ALFAAZ martay hain!
Tere bare mein jab socha nahin tha

main tanha tha magar itna nahin tha

Teri tasveer se karta tha batein

mere kamre mein aaina nahin tha

Samundron ne mujhe pyasa hi rakha

main jab sehra mein tha pyasa nahin tha

Manane roothne ke khel mein

bichar jayenge yeh socha nahin tha

suna hai band kar li usne aankhen

kayi raaton se woh soya nahin tha
Tujhay ishq ho Khuda karay………..
Koi tuj ko us say juda karay
Teray hont hansna bhool jayain
Teri aankh purnam raha karay
Too Usi ki batain kia karay
Too Usi ki batain suna karay
Tujhay hijr ki woh jhari lagay
Too Milan ki har pal dua karay
Too nagar nagar phira karay
Too gali gali sada karay
Tujhay ISHQ ho phir Yaqeen ho
Ussay Tasbeehon pay parha karay
Main kahoon ishq dhong hay
Too nahin nahin kaha karay
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
Zikr-e-shab-e-firaq se wehshat usay bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye chehroon k deed ka
Rasta badal k chalne ki adat usay bhi thi

Us raat dair tak wo rahaa mahv-e-guftagu
Masruf main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

sunata tha wo bhi sab se puraani kahaniya
Taza rafaqaton ki zarorat usay bhi thi

Mujh se bichhar ke sheher main ghul mil gaya wo shakhs
Halan k sheher bhar se raqabat usay bhi thi

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha, jee gaya
Warna har ek saans qayamat usay bhi thi

Asrar na jaan khud ko nakam k bad-zauq
Wo mana nahi par tujh se muhabat usay bhi t
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...
najaney kyoon guzrey zamaney yaad atey hein
kyoon ye puraney zakham phir mujhe statey hein

har chehrey mein chupa hai chehra un ka
nazar milaney se hum issi liye katratey hein

kub hoti hai rahat dil ko iss tarah se
ke tera naam le kar hum kissi aur ko bulatey hein

yoon toh roney ko umar de gaya wo
lekin gham oss ke sehney se hum kub ghabratey hein

ghar se be ghar kiya tha jin logoon ne humein
suna hai phir mujhe wapas bulatey hein

apney naseeb mein hai aik baar wisaal un ka
mere naseeb issi liye tujhe baar baar azmatey hein

in ankhoon ko nhin ab naseeb unein dekhna
kya karein wo mere khwaboon mein aa jatey hein!!