dard apanaataa hai

dard apanaataa hai
dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun
  

Jun, 05 2010     348 chars (3 sms)     2366 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Us k tar-q-ta''aluq ka sahbab ho ga koi ,



Dil ni manta wo Bay-wafa pahlay say tha.
Dil toorna humari aadat nahi,dil hum kissi ka dukhate nahi,bharosa rakhna meri wafaon pe, dilm mein basa kar hum kissi ko bhulate nahi..,
Wo Agar MohabbaT K Aik Hee ShaJaR Pe QayiM Ka QayiL HaI To Kia Huwa!

Usse Kehna MaIn Bhi To Shakh Shakh Baserey Nahi KaRTa.~!
ikhlAAs k AmrAt ki ulti hy Taseer






jis ko B PilatAy hAin zehAr ugaltA hy.
WO Baat Baat Pe Deta Tha Mujhe Parindon Ki Misaal
Saaf Saaf Nahi Kehta Ke Mera Shehar Chor De
Abb khawabo mein ristey banata hu,terey daman ko or karib pata hu,rahein ulfat muskil hai magar Kanchi teri yadon se apni sansey chalata hu!!
*~*~*TUM NE POOCHA*~*~*

tum ne poocha k,
dukh kia hota hai,
to suno,
aisa kern
kabhee kisi ko chahna,
or chahtey hee rehna,
din bhar us ko sochtey hee rehna,
jagtee ankhoon se us k sapney
dekhtey hee rehna,
apney haathon ki lakeeron mein us ka
naam tarashtey hee rehna,
or jab kabhee woh,
in riazaton ka hisaab mangney ko,
saamney aaye to,
tum ana ka haath thaam lena,
agar woh kuch kahay to,
muskura ker anjan ban jana,
or jab woh mayoos ho ker laut jaye to,
apney ander jhaankna,
or khud se poochna,
tub tumhara dil
tumhein bata day ga k,
dukh kisey kehtey hain,
dukh kia hota hai... .. . !!!!!!
Teri Nazar Ko Fursat Hee Na Mili Sachai Ki
Werna Mera Marz Itna B La Ilaj Na Tha
Humne Wahan B Mohabbat Banti Hai
Jis Shehar Mein Mohabbat Ka Riwaj Na Tha
ager kisi se bichrna itna asaan hota to...

jism se rooh ko leney frishtey kabhi na aatey...
bichra hi kuch iss ada say kay rut hi badal gai
ik shaks saaray sheher ko veeran kar gaya
wo jissay main baat baat per kehta tha apni jaan
wo shakhs hi aaj mujhy bejan kar gaya
Kabhi hum pe wo jan diya karty thay*



Jo hum kehty thy wo maan liya karty thay*



Aj pas se anjan bun kar guzar gaey*



Jo door se hi pehchan lya karty thay...->?
Na thi jis ko mere pyaar ki kadar,

Ittefaaq se usi ko chah rahe they hum,

Usi diye ne jalaya mere hathon ko,

Jisko hawa se bacha rahe the hum.