k SMS Messages22161 messages

ruka howa maree ankh mai wo aik lamhaa .
bichray waqat kisi ko mera sada daina .
jo kar rahay hai mohabat to yaa dhayam rahay .
bohat kathan hai kisi ki yaad ko bhulla daina :)
dil ki dharkano ko dharka gaya koi
mere khawabon ko mehka gaya koi

hum to anjane rastey par chal rahe they
achnak pyar ka matlab shika gaya koi
Mohabat na rahe tu rah kuch b nai karta,k itni taez ahndi ma bacha kuch b nai karta
Wo muj se rahta ha khafa na jane kyon,Ma jis ko dekhne k siwa kuch b nai karta
Muje abb yad rakna wo gawara he nai karta,Jise ma yad rakne ke sewa kuch b nai karta
Tumhara naam leta hon
To saanson main mohabbat ki
kai perten ulat''ti hain
Tumhen aankhon main bharta hon
To aankhon se shua''en noor ki
Bahir nikalne ko tarsti hain
Tumhen sochon ki mutthi main jakarta hon
To saare jism main thandi hawaen chalne lagti hain
Abhi wazeh nahi mujh per......
ky main chahat ki kitni manzilen teh ker k
Is manzil pe pohancha hon
Abhi wazeh nahi mujh per........
ky meri soch aisi hai
Ya teri zaat main koi shabistaan sa ujala hai
Mager ik baat wazeh hai.......
ky teri zaat ki mojodgi
Mere liye jeene ka iklota sahara hai
Meri sochon ka mehver hai
Mere jeene ka hasil hai
Agar tujh ko meri sochon se minhaa ker diya jaaye
To!!!!!
Baqi kuch nahi bachta
Yehi ik baat wazeh hai.
kiya baat kaho on ankhoo ki
Jin ankhoo pe main marta hoo
Woh ankhien jheel si ankhien hain
Jin main doob ke rooz ubharta hoon
Mujhey dekhney ke liyeh uthti hain
Miltey hi nazar woh jhukti hai
Saarey jaha main aisi ankhien nahi
Jin akhoon pe main marta hoo
In ankhoo main koi ansoo na aaye koi
kabhi koi ghum na pass aaye koi
Sada muskuratien rahey yeh
Har dum yeh dua main karta ho hoon
kiya baat kaho un ankhoo ki
Jin ankhoo pe main marta hoo
wo to ambar hai...
usey apne anchal par,
chand sajane ka haq hai
mai to fakat ek khushboo hu
khushbuo ka mukaddar to
azal me bikhar jana hi likha hai
khushboo hath nahi hati
na hi chand aur khushboo ka
wasl mumkin hai
ye to hawao ki musafir hai
chand to thos hakikat hai
jo ambar par hi sajta hai............
Teri nafarat mei woh dam nahi,
Jo meri chahat ko mita de,
Yeh mohabat hai,
koi khel nahi jo koi haske bhoola de...!
kahin khamoshi Main Bhi Iqrar Hai
kahin kisi ka Dil Beqarar Hai
kahin Nigahon Main Intizaar Hai
kahin kinara kahin Manjhdaar
kahin Apni Saanso’n ka koi Aur Haqdaar Hai
Tou kahin khud k Dil Main kisi Anjaan k Liye Mohabbat Beshumar Hai
Aur Shayad Isi Fasaane ka Naam Tou “PYAR” Hai
Chehre pe khushi chah jati hai

Aankhon mein suroor aajata hai

Jab tum MuJhe apna kehte Ho

Apne pe guroor Aajata hai
tum nay sun liya hoga

chahaton ke mosam main
zakhm jo bhi lag jaye
umr bher nahi silta
tum nay sun liya hoga
sheher ki hawaon se
wo jo aik deewana
atay jatay rahi ko
raaston main milta tha
ab kahin nahin m
hawao ke chalne se patte sarsarate he
khamosh sannate bhi kuch keh jate he
hum pyar karte nahi har kisi se
jis se bhi karte he dil me utar jate he
Dukh chhupay hoay hain hum dono
Zakham khaay hoay hain hum dono
Aisa lagta hay phir zamany ko
Yaad aay hoay hain hum dono
Tu kabhi chandani thee dhoop that main
Ab to saay hoay hain hum dono
Jaisay ek doosary ko paa kar bhee kuch ganwaiy hoay hain hum dono
Jaisay ek doosary say sharmindah
Sir jhukay haoy hain hum dono
Jaisay ek doosaray ki chahat ko
Ab bhulay hoay hain hum dono
Ishq aisa kahan ka