k SMS Messages22161 messages

BHULAYA NA JAA SAkA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso“on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil ka Dard kisse Dikhaaye,

Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,

Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin karte,

kyunke Darte Hai,koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,

kahin Ziyada To kahin kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch kar karna,

Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
khushbo ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

Mehsoos karne ki koshish To kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge
Tum Ager Mujh ko Na Chaho To koi Baat Nahi

Tum kisi Aur ko Chaho Gay, To Mushkil Hogi


Ab Ager Meail Nahi Hai To Judayi Bhi Nahi

Baat Tori Bhi Nahi Tum Ne Banayi Bhi Nahi

Ye Sahara Bhi Buhat Hai Meray Jeenay k Liye

Tum Ager Mere Nahi Ho, To Paraye Bhi Nahi

Meray Dil ko Na Saraaho, To koi Baat Nahi

Ghair k Dil ko Saraho Gay, To Mushkil Hogi
dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shakhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun
kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh ko Bhulaya Ho ga.
Mere Yadoon Nay Ussay khub Rulaya Ho Ga.
Baat Be-Baat Aankh Uss ki Jo Chalki Hoo Gi.
Uss Nay Chahray ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh kay Mitaya Ho Ga.
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga kisi Say
Uss ki Aankhoon Main koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga.
Raat kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.
Hoo kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.
Poocha Hoo Ga Jo kisi Nay Tere Halat ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main khub Us Say Chupaya Ho Ga.
yaaro kisi qatil se kabhi pyar na maa.Ngo
apane hi gale k liye talavar na mango
gir jaoge tum apane masihaa ki nazar se
mar kar bhii ilaaj-e-dil-e-biimaar na mango
Ek Hum Hain Jo Unhein Bhool Hee Paate Nahin,
Ek Wo Hain Jinhein Hamaari Yaad Tak Aati Nahin,
Ishq ki Daastaan Ajeeb Daastaan Hai Jo,
Samajh To Aati Hai Lekin Samajhai Jaati Nahin
Aainda maat anna tum kabhi bhi yaad mujhye
Tere yadoon nye ker diya bar-baad mujhye

Na duniyta ke sitaam Na qismat ki badnasibi
kuch nahi teri muhabbat ke siwa yaad mujhye

Atte hain nazar har taraf wiranye hi wiranye
Dikhai nahi deta SHARIM koi ghar ABAD mujhye
Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula diya tere jigri yaro ne.

Maine kaha k bhule nhi hai faryad to karte honge,
mera sms padh k yaad to karte honge.
kisi na kisipe aitbar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,

khubiyo se nhi hoti mohabat hamesha,
khamiyo se b aksar pyarho jata hai
Maat roko iss behte dard ko,
Saza hai ye kisi ke intzar ki,

keh lo inhe ashk ya diwangi,
Ye to nishani hai kisi ke pyaar ki.
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
khud ko seenay say laganay nahin daitay,

Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,

aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay.