Kisi na kisipe aitbar

Kisi na kisipe aitbar
Kisi na kisipe aitbar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,

Khubiyo se nhi hoti mohabat hamesha,
Khamiyo se b aksar pyarho jata hai
  

Jun, 05 2010     147 chars (1 sms)     6123 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hazar un se muhabbat jatane wale hain
Zamane wale bhi lekin zamane wale hain...
Bahar jin ke naqsh-e-qadam pe nazan hai
Ye khush khuram qayamat uthane wale hain...
Woh beqasoor hain wada agar wafa na ho
Qadam qadam pe unhein wargalane wale hain...
Tumhari chashm-e-karam ne jinhein hawa de di
Woh khush shanas kahan sar jhukane wale hain...
Unhein wafa-o-muhabbat ka tajurba hi nahin
Jo bekhabar unsey apna banane wale hain...
Shab-e-faraq sitaron se khaak dil behle
Ke rafta rafta ye sab doob jane wale hain...
Woh poochhte hain to sab haal arz ker Aman
Ye ittefaq kahan haath aane wale hain...
kashhhh khushion ki koi dukan hoti ..

humain bhi us ki pachan hoti...

bhar dete aap ka daman khushion se

keemat chaye us ki hamari jaan hoti....;->
Koi had b usko yad nahi,Koi baat b usko yaad nahi

Ik shakhs ne usko chaha tha,Wo zat b usko yaad nahi

jab shab ki bijli chamki thi,aur badal toot k barsa tha

Hum dono jis mei bheege thay,Wo barsat b usko yaad nahi

Wo sahil,darya, phool,hawa,wo wada sath nibhane ka

Or shab bhar "chand" ko dekha tha,wo raat b usko yad nh,

wo kehti thi mai sunta tha,mai kehta tha wo sunti thi,

un lakhon baton mai koi ik baat b usko yad nahi
Zindagi ki raahon pay bohat sy yaar milein ge,

Hum keya hum say b ache hzaar milein ge,

In achon me hmein na bhool jana,

Hm konsa tumhein hr bar milein ge
main kase kisi ko apni sooch ka mahwar bana leta..

jis shakhs ko main ne kitabon ki terha prdha hai..
Wafa Kisi Pe Farz Tou Nahi Lekin

Jo Ho Sakey Tou Humara Khyal Rakhna
Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe
Chalay aao Kainaat baant letay hain.....
Tum meray or Bakii sub Tumhara
Dard se dosti ho gayi yaaron,

Zindagi bedard ho gayi yaaron.

Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,

Door tak roshni to ho gayi yaaron...;->
ye larki to phool se mukhtalif hay
aadhi mohabbat mere saamne
or aadhi mohabbat muj se chop kar karti hay
aadhi raat ko aadhe chaand se
baten karti rehti hay
wo baten jo mujh se karte
uske hont or uski saansen ruk jati hain
uski palken jhuk jati hain
aadhi raat ko takiye ke neche
rakhi meri tasveer ko dekhti rehti hay
phir khud se sharma kar
takiye me mu chuppa kar deer tak hansti rehti hay
Aik din us nay mujsy pochha: kia mujhy bhol jao gay?
Main ny kaha...

Tum ny dehki nahi phoolon ki wafa??
Wo jis py khilty hain usi par murjha jaty hain.
Gar Poochey Koi Mujh Sy Tere Ta''aluq Ki Nisbat

Nikaal K Dil Apna Hatheli Py Rakh Doon Ga.