Khamoshiyan teri

Khamoshiyan teri
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hai,
meri har aah har dard samjhti hai,
pata hai majbur hai tu aur main bhi,
phir bhi aankhen didar ko tarasti hai
  

Jun, 07 2010     156 chars (1 sms)     4035 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ye dsrd key tukry hen,ashaar nahi saghar.

ham kaanch k dhagy me zakhmon ko paroty hen.
Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain
Bas Yaadain Bohat Stati Hain
Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe
Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain
Kitni mushkil se kati kal ki raat na poocho,
Dil se nikli hui honton may dabi baat na poocho,
Wo kis ada se mere samnay se guzra abhi,
Kis tarah mainay sanbhalay jazbaat na pooocho,
Is tarah pal main mujhay begana kar diya usnay,
Kis tarah khaai hai mainay maat na poocho,
Ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahin,
Kitni mushkil se bani thi dil Ki kaayenaat na poocho.../
Jab Main mar jao mera dil likalkar
Bahar rakh dena,
Jab Main mar jao mera dil likalkar
Bahar rakh dena,
Take woh na dafan ho jaye
jo is dil main rehte
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..
Jo Manzar Ek Bar Guzar Jate Hain Nigah Se
Phir Dhoondti Aankhoon Mein Wo Manzar Nahi Aate
Khuch Log Kisi Baat Per Ate Nahi Hain Yaad
Khuch Log Kisi Tor Bhulaye Nahi Jate
Sulaah ke zamany mein..

Mujh ko aysa lagta hai..

Wo agar bechar jaye..

Tu sirf itna dukh ho ga..

Jitna aankh khulney par..

Khawab toot janey ka..

Par ajab tamasha hai..

Wo agar kabhi mujh say..

Yoon hi ruth jati hai..

To kainaat ki har shey..

Toot phoot jati hai..!
Urrti rehti hai 1 gard mujh may.....!
Kon phirta hai dar''badr mujh may.....!
Mujh Ko mujh may jagah nahi milti.....!
Wo hai mojood is qadar mujh may....!
Sara hi shehar us k janazey main tha shareek,
Tanhaiyon k khoof se jo shakhs mar gaya....!
Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaye ga

Itna manoos na ho hilwat-e-ghum sey apni
Tu kabhi khud ko bhi dheikhey ga tu dar jaye ga

Tum sar-e-rah-e-wafa dheikhtye reh jao gey
Or wo baagh-e-rafaqat sey uttar jaye ga

Zindgi teri atta hai tu ye jaaney wala
Teri bukhshish ko teri dehleez per rakh jaye ga

Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
Dillagi Doston Ke Naam Hoti Hai,
Dildari Dosti Ki Shaan Hoti Hai,
Kahin Bhi Raho Par Rahoge Dil Me
Mere Yehi Sachi Dosti Ki Pehchan Hoti Hai..
mein ne mangi thi ujaley ki fakat aik kiran,
tum se yeh kis ne kaha aag laga di jaye...