bata SMS Messages710 messages

taa-umr

yu hi hum jehmat uthate hain
chand akshar gungunate hain
ve batate hain raah duniya ko
apni galiyon ko bhul jaate hain
lete parwaaz ab nahi naayir
sirf parr apne fadfadate hain
paanv apne hi uth nahi paate
vo humhe har lamha bulate hain
aap kehte hain likha kya humne
aur hum hain ki muskurate hain
jinko dariya dubo nahi paaya
ek chullu bhar mein dhoob jaate hain
uske hothon ki maye kabhi pi thi
umr guzri hai ladkhadate hain
ek tasveer ka sahara le
apni tanhayiaan bitate hain
dard kitne hain bata nahi sakta
zakhm kitne hain dikha nhai sakta
ankhon se samjh sako to samjh lo
ansoon gire hain kitne gina nahi sakta
Roti huyi aankho se tujhe muskan kaise du
Anjaan hu khud tujhe pehchan kaise du
Tu hi to hai jaan meri
Tu hi bata tujhe apni jaan kaise du.
1 bat bataon raaz ki?kro us larki se ishq.Jis k chehre pe ho sadgi.Sanso mei ho tazgi Chandni ho chand ki,Rani ho rat ki Khushbu ho gulab ki.Baten kre pyar ki. Nazuk ho mizaj ki. Ache ho ikhlaq ki, paband ho namaz ki. khidmat kre maa bap ki. aur kahey main hon sirf aap ki
Bina Jurm-o-Khata, Khood ko koi aisi Saza Dena
Boht Mushkil hai Meri Janaa!! Tumhein bilkul Bhula Dena
Mere Maula! agar Tuu ne dubara Zindagi Bakhsi
To bus itni Guzarish hai, Mujhe Patthar bana dena
Mai Zehni tor per Khood ko zara Tayyar kar loongi
Bichar jane se kuch pehley HAMDAM bata dena
Tumhari ye Shararat aaj tak naqsh hai Dharkan per
Dabe paoon chale ana, Mera Jhumka hila dena
Phir is k baad jis k paas b jao, ijazat hai
Mujhe ek baar apne Naam ki Mehndi laga dena
Faqat itna kaha tha na?.. Mujhe kuch Roshni dedo
Tumhein kis ne ye Bola tha, Meri Basti jala dena
Jise Barish k paani mai baha ker Muskhurate the
Mujhe Kagaz ki wo Kishti zara phir se bana dena
Umar bhar phir Tumhara Rasta takne se acha hai
Raat sunti rahi mein sunata raha
Dard ki dastan mein batata raha
Log logon say chahat nibhatay rahay
Ek wo tha mera dil jalata raha
Dhoop chaoon si uski tabiyat rahi
Wo nigahein milata churata raha
Ik mein he piyasa raha ay dost
Log peetay rahay wo pilata raha
Dil k mehman khanay mein ronaq rahi
mohabbat ke raaz hum tumhe bataayen kya

zakhm hi zakhm hain dil dikhaayen kya



hai khel zindagi ka taqdeeron ke haath mein

jo hona hai so hona hai ghabraayen kya...?



utthaa rahe hain tere dar se mujhko log

tum kaho to duniya se utth jaayen kya....?



unka shahar hai unke log unhi ki mehfil

yaa.n kisi ko apni dastaan sunaayen kya
Dil kitna majboor hai,

aankho se neend door hai.

Jis se milna chahte hai hum

wo humse koso door hai.

Aye hawa ye to bata

kya meri tarah wo bhi majboor hai?
Ankhoon may kayi sapnay saja kar roye bohot hai hum.
dil ko nayi dunya dikha kar kar roye bohot hai hum.

woh badal gaya to pher li hum nay bhi nazar apni.
par us kay khatoon ko jala kar kar roye bohot hai hum.

laut aye to ahin us ki mehfil say bacha kar ana apni.
par us ki bazm say a kar kar roye bohot hai hum.

jisay kia tha roshan tamanhaon say hum nay apni.
us shamy wafa ka bhuja kar kar roye bohot hai hum.

jin kay saye mai ki thin hum nay kayin batain.
un baghoon mai tanha ja kar kar roye bohot hai hum.

kis qadar khoshi say kia hum dum ko rukhsat hum nay.
magar sab say nazar bacha kay kar roye bohot hai hum.
Raat meri aankho se ek aansu nikal aaya
Maine usse pucha tu kyo aaya
To usne mujhe bataya ki dear!
Koyi in aankho me etana hai samaya ki
Mai chah kar bhi apni jagah na bna paya.
Ek ajab c paheli hai jiNdgi,
sab k sath fir bhi akeli hai jiNdgi.
Kbhi pyara sa ek armaaN hai jiNdgi,
to kbhi dard se bhara tufaN hai jiNdgi.
Kbhi pholo se bhara ek guldasta hai,
to kbhi kaaNto se bhara ek rasta.
Kbhi bacho c masoom ho jati hai,
to kbhi guNaho ka bhoj baN jati hai.
Koi to bata de mujhe kya hai jiNdgi,
suNa hai chaNd roz ki mehmaN hai jiNdgi.
JiNdgi ko chor ek diN jaNa prega,
jiNdgi se jitNa pyar tum krlo,
hoti to akhir bewafa hai jiNdgi
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya